Milaun kis ki ankhon se main apni chashm-e-hairan ko
ayaan jab har jagah dekhun usi ke naz-e-pinhan ko
tujhe ai shama kya dekhen zamane ko dikhana hai
hamen juun kaghaz-e-atish-zada aur hi charaghan ko
na tanha kuchh yahi atfal dushman hain divanon ke
bhare hai koh bhi dekha to yaan pattharon se daman ko
jhamakte hain sitaron ki tarah surakh hasti ke
chhupaya go ki juun khurshid men dagh-e-numayan ko
na vajib hi kaha jaave na sadiq mumtana us par
kiya tashkhis kuchh ham ne na hargiz shakhs-e-imkan ko