Mirza Ghalib
Poet: Allama Iqbal By: Shamim Khan, KarachiFikar Insaa Par Tri Hasti Se Yeh Roshan Howa
 Hai Par Murgh Takhayyul Ki Rasai Taa Kuja
 Tha Saraapaa Rooh To, Bazm Sukhan Paiker Tra
 Zaib Mehfil Bhi Raha Mehfil Se Panhan Bhi Raha
 Deed Teri Aankh Ko Is Husn Ki Manzoor Hai
 Ban Ke Soaz Zindagi Har Shai Mein Jo Mastoor Hai
 Mehfil Hasti Tri Barbat Se Hai Sarmaya Daar
 Jis Terhan Nadi Ke Naghmon Se Sukut Kohsar
 Tairay Firdous Takhayyul Se Hai Qudrat Ki Bahhar
 Teri Kasht Fikar Se Ugte Hain Aalam Sabza Waar
 Zindagi Muzmer Hai Teri Shokhi Tehreer Mein
 Taab Goyai Se Junbish Hai Lab Tasweer Mein
 Nutq Ko So Naz Hain Tairay Lab Ejaaz Par
 Mehv Herat Hai Surriya Riffat Parwaaz Par
 Shahid Mazmoon Tassadaq Hai Tre Andaaz Par
 Khanda Zan Hai Ghuncha Dili Gul Shiraz Par
 Aah! To Ujri Hui Dili Mein آرامیدہ Hai
 Gulshan ویمر Mein Tera Hum Nawa Khowabida Hai
 Lutaf Goyai Mein Teri Hamsari Mumkin Nahi
 Ho Takhayyul Ka Nah Jab Tak Fikar Kaamil Hum Nashen
 Haae! Ab Kya Ho Gayi Hndostan Ki Sir Zamee
 Aah! Ae Nzarah Amooz Nigah Nuqta Been
 Gisoye Urdu Abhi Minnat Pazeer Shana Hai
 Shama Yeh Sodaai Dil Suzi Parwana Hai
 Ae Jahan Abad, Ae Gehwaara Ilm O Hunar
 Hain Saraapaa Naala Khamosh Tairay Baam O Dar
 Zarray Zarray Mein Tre Khowabida Hain شمں O Qamar
 Yun To Posheeda Hain Teri Khaak Mein Lakhoon Gohr
 Dafan Tujh Mein Koi Fakhr Rozgaar Aisa Bhi Hai ?
 Tujh Mein Panhan Koi Moti Aabadaar Aisa Bhi Hai ?
  







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 