✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Mohsin Shaikh
Search
Add Poetry
Poetries by Mohsin Shaikh
Tumhaari Har Ek Raah Me Tumhe
Tumhaari Har Ek Raah Me Tumhe Main Milunga
Jab Kadam Ladkhayenge Tumhe Main Milunga
Khushiyon Se Bhar Jaaye Ye Jeewan Tumhaara
Tumhe Har Gum Se Dur Rakhne Ko Main Milunga
Tanha Raho Agar Kabhi Tum Deewaaron Ke Bich
Deewaaron Pe Tasveer Banke Tumhe Main Milunga
Lehron Ke Sang Behti Raho Tum Kashti Banke
Saahil Banke Tumhe Thaamne Ko Main Milunga
Pankh Phailaake Panchhi Banke Udna Chaaho To
Udne Ke Liye Aasmaan Banke Tumhe Main Milunga
Thak Jaao Kabhi Araam Banke Tumhe Main Milunga
Jeewaan Safar Ke Har Mod Pe Tumhe Main Milunga
Mohsin Shaikh
Copy
Mere Pagal Piya Meri Chahat Na Kar
Mere Pagal Piya Meri Chahat Na Kar
Mujhey Dekha Na Kar Mujha Sochaa Na Kar
Meri Be Khawab Aankhon Mein Na Janka Kar
Mein To Khoo Jao Gi Mujhey Na Dhoonda Kar
Mein Hun Bad-E-Saba Jo Rukti Nahi
Mein Hun Essi Ghatta Jo Barasti Nahi Hai
Mien Essi Leher Hun Jiss Mein Halchal Na Ho
Na Tum Ko Dabo Dey Ye Lehrein Kahein
Mere Pagal Piya Essi Khawaesh Na Kar
Mein Woh Sapna Hun Jo Ke Sach Na Ho
Mein Woh Umid Hun Jo Ke Adhoori Rahey
Mein Woh Rasta Hun Jiski Na Manzil Miley
Mein Woh Sehraa Hun Ke Jis Mein Bhatak Jao Ge
Mere Pagal Piya Esse Raste Pe Na Chal
Mein Essi Kiran Hun Jo Ke Be-Noor Hai
Mein To Woh Sep Hun Jiss Mein Moti Na Miley
Mein To Woh Khooshboo Hun Jiss Ko Bikar Jana Hai
Mere Pagal Piya Mera Picha Na Kar
Mein To Woh Shaam Hun Jo Ke Dhal Jaye Gi
Mein To Woh Rat Hun Jiska Sawera Na Ho
Mein To Woh Aag Hun Jo Ke Dehekti Rahe
Na Mere Paas Tu Aaa To Be Jaal Jaye Ga
Mere Pagal Piya Tu Lout Jaa
Mere Pagal Piya Meri Chahat Na Kar
Mujhe Dekha Kar Mujhe Sochaa Na Kar
Mere Pagal Piya
Mohsin Shaikh
Copy
Mil Geya Tha To Usey Khud Se
Mil Geya Tha To Usey Khud Se Khafa Rakhna Tha
Dil Ko Kuch Dair To Masroof E Dua Rakhna Tha
Main Na Kehta Tha K Saanpon Se Attey Hein Raastey
Ghar Se Nikley They To Haathon Mein Aasa Rakhna Tha
Baat Jab Tark E Tualuq Pe Hi Thehri Thi To Phir
Dil Mein Ehsaas E Gum E Yaar B Kia Rakhna Tha
Daman E Moj E Hava Yun To Na Khaali Jata
Ghar Ki Dehleez Pe Koi To Dia Rakhna Tha
Kia Khabar Us K Taqub Mein Hon Kitni Sochain ?
Apna Andaz To Auron Se Juda Rakhna Tha
Chandni Bund Kuvarron Mein Kahan Utrey Gi ?
Ik Dareecha To Bharey Ghar Mein Khula Rakhna Tha
Uski Khushbu Se Sajana Tha Jo Dil Ko Mohsin
Uski Sanson Ka Laqab Moj E Saba Rakhna Tha
Mohsin Shaikh
Copy
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manaane Ke Liye Aa
Kuch To Mere Pindaar-E Mohabbat Ka Bharm Rakh
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manaane Ke Liye Aa
Mohsin Shaikh
Copy
Kaise Woh Lot Aye Ke
Kaise Woh Lot Aye Ke Fursat Use Nahin
Duniya Samajh Rahi Hai Mohabbat Use Nahin
Lagta Hai Aa Chuki Hai Kami Us Ki Chah Main
Kafi Dinon Se Mujh Se Shikayet Use Nahin
Dil Ki Zameen Us Ki Hai Banjar Issi Liye
Jazbon Ki Barishon Ki Jo Aadat Use Nahin
Her Cheez Ikhtiar Main Rakhta Hai Woh Magar
Dil Se Rehai Pane Pe Qudrat Use Nahin
Mohsin Shaikh
Copy
Ye Aakhri Khat Main Likh Raha Hon
Udaas Tehreer Parh K Meri
Mery Sanam Muskra Na Dena
Ye Aakhri Khat Main Likh Raha Hon
Khayal Krna Jala Na Dena
Guzar Rahi Hy Tmhari Kesy
Bichr K Ham Sy Rula K Hm Ko
Hqeeqton Ko Zaror Likhna
Ana Ki Khatir Chupa Na Dena
Koi Jo Pochy Kidhr Gaya Wo
Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara
Jo Furqaton Ka Sabab Bany Thy
Kisi Bashar Ko Bata Na Dena
Main Mar B Jaon To Muskrana
Ehsas_E_Gam Ki Na Chout Khana,
Jo Qurb_E_Gam Sy Nigahen Bheegen
To Rukh Sy Aanchal Hata Na Dena
Lahu Sy Tehreer Kr Raha Hon
Main Apni Sari Kahani
Jo Phaar B Do To Paas Rakhna
Hawa Me Tukry Ura Na Dena
Mohsin Shaikh
Copy
Yeh Zindagi Hai Meri
Tamasha Ban Kar Reh Gayi Hai
Reh-Guzar Yeh Meri
Na Jaane Kis Talaash Mein
Yeh Zindagi Hai Meri
Saji Thi Mehfil Kal Yaaron Ki
Khushiyon Ki Lai Thi Saugat
Aaj Na Koi Dost Na Parchai Hai
Soone Palon Se Bhari
Yeh Zindagi Hai Meri
Sannate Ki Aahat Pe
Dil Kuch Ghabraaya Tha
Jab Din Thak Kar Chupke Se
Dhalne Ko Aaya Tha
Roshan Kaei Chirag Par
Yaadon K Andheron Mein Simat-Ti
Yeh Zindagi Hai Meri
Nigaahen Aaj Bhi Uska Rasta Dekhti Hain
Us Ajnabi Ki Dharkan Pehchanti Hain
Ek Khwahish K Saroor Pey Zinda
Khone K Hunar Se Bhari
Yeh Zindagi Hai Meri
Tere Mere Milan Ki Yeh Raaina
Kuch Pal Mein Dum Tord Gai
Khauf Ki Jeet Ka Jashn Dekh
Apni Haar Ka Matam Manaati
Yeh Zindagi Hai Meri
Tamasha Ban Kar Reh Gayi Hai
Reh-Guzar Yeh Meri
Na Jaane Kis Talaash Mein
Yeh Zindagi Hai Meri
Mohsin Shaikh
Copy
I would stay in your arms forever
If I had one wish.
If one desire could come true.
If I had one wish.
My wish would be you.
If I could choose.
I would stay in your arms forever.
Our hearts would fuse.
And our love would become an endeavor.
I would wish for you to stay with me.
For you to be my love.
You would be my hearts key.
Forever my angel, my dove.
Forever is a long time.
To require in a single command.
I will write our love in a rhyme.
For it would be my demand.
I would ask of this.
Only with your permission.
Lost in a kiss.
Our love is my ambition.
So I wished upon the star.
The star that reminded me most of you.
My actions seemed bizarre.
But this wish I had to pursue.
If I had one wish.
My wish would be you.
And since I made that wish.
My wish has come true.
Mohsin Shaikh
Copy
U treat me like a princess.!!
I don’t know what to say.
I don’t know how to act.
I don’t know why U want me,
with the way I act.
I treat U like dirt.
U tell me this each day.
I don’t appreciate U,
like I did last may.
U treat me like a princess.
I take Ur heart apart.
I don’t know why I can’t commit to U,
the way I do my art.
U hurt me so bad,
inside and out.
U say U love me.
Then U just skip out.
How am I supposed to react?
I am so confused.
Do I really want U,
or do I want U to fade away like I do this bruise?
This is the big question.
What ever should I do?
Does my heart yearn for U?
Or does my heart lust for U…!!
Mohsin Shaikh
Copy
Band Kitaab Main Khali Auraaq
Band Kitaab Main Khali Auraaq Rakhta Hoon
Dil Ko Aainy K Tarha Shafaf Rakhta Hoon
Ik Baar Ka Milna Ker Deta Hai Mutaasir
Apni Guftagoo Main Kuch Aisa Andaaz Rakhta Hoon
Mujh Say Milo To Zara Faasly Say Mila Karo
May Dil Main Uter Jane Ka Kamaal Rakhta Hoon
Her Dukh Ko Yun Hi Baant Deta Hoon Lafzon Main
Kuch Aisa Dostana Mizaaj Rakhta Hoon
Mohsin Shaikh
Copy
Tu Is Qadar Mujhe Apne Qareeb Lagta Hai
Tu Is Qadar Mujhe Apne Qareeb Lagta Hai
Tujhe Alag Se Jo Sochon Ajeeb Lagta Hai
Jise Na Husn Se Matlab Na Ishq Se Sar-O-Kaar
Wo Shakhs Mujhko Boht Bad Naseeb Lagta Hai
Hadud-E-Zaat Se Baher Nikal K Dekh Zara
Na Koi Gair Na Koi Raqeeb Lagta Hai
Ye Dosti Ye Marasim Ye Chahaten Ye Khulus
Kabi Kabi Mujhe Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai
Na Jane Kab Koi Tufaan Aaye Ga Yaaro
Buland Moj Se Sahil Qareeb Lagta Hai
Mohsin Shaikh
Copy
Hum B Kabi Muhabat Kia Kartey They
Jb Teri Dhun Mein Jiya Kerty They
Hum B Chup Chap Phira Kerty They
Ankhon Me Piyas Howa Kerti Thi
Dil Me Tufan Utha Kerty They
Sach Smjty They Tere Wadon Ko
Rat Din Ghar Me Roya Kerty Thy
Ghar Ki Dewar Sajany Ki Khatir
Hum Tera Nam Likha Krty Thy
Log Aty Thy Ghazal Suneny Ko
Hum Teri Bat Kia Krtey Thy
Woh B Kia Din They Tuje Bhula Ker
Hum Tujhi Ko Yad Kia Krety They
Aj Tuje Daikh Ker Yad Aya
Hum B Kabi Muhabat Kia Kartey They
Mohsin Shaikh
Copy
Bura Na Maan Agar Tujh Se Piyaar
Bura Na Maan Agar Tujh Se Piyaar Karta Hoon
Gunah Kon Sa Aysa Mein Yaar Karta Hoon
Mohabbat Aik Dimaghi Khalal Sahi Lekin
Mein Is Khalal Ko Ebaadat Shumaar Karta Hoon
Meri Khataon May Meri Samjh Ka Dakhal Nahi
Mein Jo B Karta Hoon Be Ikhtiyaar Karta Hoon
Tu Kitne Piyaar K Qaabil Hai Kya Khabar Mujh Ko
K Mein To Jitna B Mumkin Hai Piyaar Karta Hoon
KHUDA Se Itni Mohabbat Mujhe Nahi Hai Adam
KHUDA K Bandon Se Jitna Mein Piyaar Karta Hoon
Mohsin Shaikh
Copy
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko
Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain
Kabhi Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko
Youn To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko
Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maut Nay Payar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh Ko
Kaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay Lamhay
Yad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko
Mohsin Shaikh
Copy
Un Ko Dekhey Hoye Hoi Sadyan
Apna Ehsas Mar Na Jaye Kahin
Dard Had Se Guzar Na Jaye Kahin
Un Ko Dekhey Hoye Hoi Sadyan
Un Ka Chehra Bikhar Na Jaye Kahin
Ab K Awaz Doon To Aa Jana
Dil Deewana Sudhar Na Jaye Kahin
Un Ka Wada To Hai Magar Dil Ko Darr Hai
K Kafir Mukar Na Jaye Kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar Na Jaye Kahin
Meri Dunya Hai Dard Ki Surat
Gul Ki Surat Nikhar Na Jaye Kahin
Khak Se Aab Tak To Aa Pohnchey
Ab Yeh Darya Utar Na Jaye Kahin
Yeh Mohabbat B Ek Bala Theri
Hum Ko Darr Hai Wo Darr Na Jaye Kahin
Is Liye Muskuraye Phirta Hoon
Un Ki Aankh B Na Bhar Jaye Kahin
Dil Se Guzra To Hai Magar Mohsin
Apni Jaan Se Guzar Na Jaye Kahin
Mohsin Shaikh
Copy
Sajdey Kiye Hain Laakhon
Sajde Kiye Hai Lakhon
Lakhon Duayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe
Chahat Ki Teri Maine
Haqq Mein Hawayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe
Tujhse Hi Dil Yeh Behla
Tu Jaise Kalma Pehla
Chahun Na Phir Kyun Main Tujhe
Jis Pal Na Chaha Tujhko
Uss Pal Sazayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe
Sajde Kiye Hai Lakhon
Lakhon Duayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe
Jaane Tu Sara Woh
Dil Mein Jo Mere Ho
Parh Le Tu Aankhein Har Dafa
Nakhre Se Na Ji Bhi Hote Hain Raazi Bhi
Tujhse Hi Hote Hain Khafa
Jaane Tu Baatein Saari
Katt Ti Hain Raatein Saari
Jalte Diye Se Ann Bujhe
Uth Uth Ke Raaton Ko Bhi
Teri Wafayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe
Sajde Kiye Hai Lakhon
Lakhon Duayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe
Chahat Ke Kajal Se
Kismat Ke Kaagaz Pe
Apni Wafayein Likh Zara
Bole Zamana Yun
Main Tere Jaisi Hoon
Tu Bhi To Mujhsa Dikh Zara
Mera Hi Saaya Tu Hai
Mujh Mein Samaya Tu Hai
Har Pal Yeh Lagta Hai Mujhe
Khud Ko Mitaya Maine
Teri Balayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe
Chahe Tu Chahe Mujhko
Aisi Adaayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe
Mohsin Shaikh
Copy
Mohabat Mar Nahin Sakti
Mohabbat Mar Nahin Sakti
Sitare Toot Bhi Jayein
Sumander Sookh Bhi Jayin
Zameen Ki Kookh K Saab Astaray
Rooth Bhi Jayin Saba
Gul Aur Baharoon Se Kinara Kar Nahin Sakti
Mohabat Mar Na
Zamana Beet Jaye Ga
Zamanay Beet Jate Hain
Fana Ki Vadyoon Main ,Rooz Mere Geet Jate Hain
Diloon Ki Khetyoon Ko Zeher De Kar Bar-Ha
Zalim K Lashkar Jeet Jate Hain Magar
Nafrat Ki Tund-O-Taiz Zalim Andhyoon Main Bhi
Fiza Main Ik Nani Preet Koil
Daar Nahin Sakti
Mohabat Mar Nahin Sakti
Mohsin Shaikh
Copy
Maira Jeevan Teiray Name Ho Jaye
Zindegi Ki Ghani Dhoop Dhelnay Say Pahlay
Ummeedon Ki Khushboo Bikhrnay Say Pahlay
Aik Roz Kabhi Hum Tum Say Milain
Usi Roz Chaman Main Phool Khilain
Usi Roz Main Apnay Sub Qaidi
Yaani Dukh K Sub Panchi
Riha Karoun
Azaad Karoun
Or Dil Ka Nagar Abaad Karoun
Usi Roz Ho Youn K Hum Donon
Hathon Main Dalain Hathon Ko
Khushyon K Reishmi Sahil Say
Aashaon K Gehray Saagar Main
Khwabon K Hunse Rang Suuraj Ko
Kuch Deir Tak Ruka Deikhain
Waqt Ko Thama Dekhain
Or Jub Jis Pal Jis Lamhay Tum
Mujh Ko Deikh K Dheeray Say Hunse Do
Ser Apna Mairay Shanay Per Rakh Do
Tab Saansein Mari
Maira Jeevan
Teiray Name Ho Jaye
Or Zindegi Ki Bus Wahin Per Shaam Ho Jaye
Mohsin Shaikh
Copy
Dil Aur Wo Bhii Tuutaa Huaa Dil
Dil Aur Wo Bhii Tuutaa Huaa Dil
Ab Zindagii Hai Jiine Ke Qaabil
Kyaa Zindagii Kaa Ehasaas-E-Shaamil
Tere Bagair Ek Gaarat-Garii Dil
Hotaa Hai Jitanaa Khuun-E-Tamannaa
Ba.Datii Hai Utanii Rangiinii-E-Dil
Josh-E-Junuu.N Me.N Yak Saa Hai Dono
Kyaa Gard-E-Sehraa, Kyaa Khaak-E-Ma.Nzil
Taqdiir-E-Insaa.N Aur Ye Zamaanaa
Ek Marg-E-Aasaa.N Aur Wo Bhii Mushqil
Lab Par Tabassum, Aa.Nkho.N Me.N Aa.Nsuu
Ham Likh Rahe.N Hai.N Afsaanaa-E-Dil
'Taskeen' Se Aksar Ham Bhii Mile Hai.N
Kuchh Bhii Ho Lekin Hai Saahib-E-Dil
Mohsin Shaikh
Copy
Mumkin Hy Bin Mere B Beeta Lo Ye Zindgi
Mumkin Hy Bin Mere B Beeta Lo Ye Zindgi
Mumkin Hy Apne Saath B Guzara Na Kr Sako
Mumkin Hy Zehr De K Ata Kr Do Zindgi
Mumkin Hy Ye Karam Dobra Na Kr Sako
Mumkin Hy Mera Hukam B Tumko Qabool Ho
Mumkin Hy Iltija B Gawara Na Kr Sako
Mumkin Hy Do Kadam Pe Badal Jaö
Mumkin Hy Umar Bhar Kinara Na Kr Sako
Mohsin Shaikh
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets