✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Momo
Search
Add Poetry
Poetries by Momo
Lagtey Thay Ujala Phir Andhairy Raat Ho Gayay
Yaad Main Teri Aksar Ham Gum Ho Gayay
Pehlay Thay Gulistan Ab Ham Khander Ho Gayay
Beykaran Dukh Ney Lapait Main Liya Wajood Ko Isterah
Lagtey Thay Ujala Phir Andhairy Raat Ho Gayay
Tujh Sey Talauk Ka Dhaga Jo Jhutkey Sey Toota
They Thathaain Marta Samandar Ab Piyasi Naadi Ho Gayay
Ashkon Ka Sailaab_E_Rawan Hey Behta Iskudar
Ham They Behta Saghar Phir Banjar Zameen Ho Gayay
Apney Wajood Main Tanhayon Ka Sanaata Hey Itna
Mehektey Gulon Sey Ab Shajr_E_Khizaan Ho Gayay
Momo
Copy
Ghami Main Bhi Khoshi Key Lumhon Ka Hi Hisab Tha
Log Kehtey Hain,Tumhari Hansi Main Ik Jahan Abad Tha
Tumhara Ana Buzm Main Gulistan Bhara Khawab Tha
Ab To Bus Gayay Hain Weeraney Mery Zaat Main
Pehley To Meri Haseen Zindagi Logon Ko Ik Jawab Tha
Meri Zaat Thi Mehfilon Main Ronaq Ka Sabab
Ghami Main Bhi Khoshi Key Lumhon Ka Hi Hisab Tha
Teri Zaat Sey Talauk Jura Tha Jub Tak Mera
Apney Hi Urooj Per Bohut Mera Shabab Tha
To Ney Jo Chor Diya Achanak Akaila Mujh Ko
Tera Merey Sath Hona Akhir Ko Ik Saraab Tha
Momo
Copy
Zindagi Hamarey Liyay Harf_E_Malamat Ho Gai
Dard Jo Ham Ko Mila Hey Tujh Sey
Jeeney Sey Ham Ko Nafrat Ho Gai
Dil Ki Dharakn Ho Jai Band Ab To
Hai Yeh Kia Hamarey Liyay Qiamat Ho Gai
Zeher Jo Phela Hey Hamari Zindagi Main
Zindagi Hamarey Liyay Harf_E_Malamat Ho Gai
Ab Kia Sunain Us Ko Gham_E_Dastan
Her Tabahi Hamari Qismat Ho Gai
Ab Khuch Naheen Jis Ko Lootay Ham Sey Zamana
Aiy Sanam Ja Ab Tujh Ko Ham Sey Fursat Ho Gai
Momo Choudhry
Copy
Wahan Tum Bethey Mujhey Socho,Yahaan Main Tum Ko
Zara Ik Baat Mujhey Tum Batlao
Ham Ney Bhicher Key Ik Dojey Sey Bhala Kia Payaa
Teri Khushyan Juda Tujh Sey,Merey Sapney Khafa Mujh Sey
Ankhon Main Nami Key Siwaa Ham Ney Kia Payaa
Teri Ratain Sadyan Si,Aur Merey Din Naheen Kattaiey
Dil Key Dard Key Siwaa Ham Ney Kia Payaa
Tum Ho Zidi To Ham Hain Bohut Khudsir
Judai Ki Tenha Raton Key Siwaa Hum Ney Kia Payaa
Wahan Tum Bethey Mujhey Socho,Yahaan Main Tum Ko
Terapti Hayaat Key Siwaa Ham Ney Kia Payaa
Zara Ik Baat Mujhey Tum Batlao
Ham Ney Bhicher Key Ik Dojey Sey Bhala Kia Payaa
Momo Choudhry
Copy
Hawa Ney Sargoshi Main Sirf Tera Naam Liyaa
Teri Yaad Main Bikhri Bikhri Rehney Lagi Hoon
Her Din Her Peher Ab Main Roney Lagi Hoon
Hawa Ney Sargoshi Main Sirf Tera Naam Liya
Apni Raah Sey Main Phir Bhutakney Lagi Hoon
Teri Yaad Ney Jo Dastak Di Zehen Per
Khuli Ankhon Sey Main Phir Soney Lagi Hoon
Terey Naam Ki Khusbu Phaily Hey Charon Janib
Bin Piyay Phir Sey Main Behekney Lagi Hoon
Phichley Peher Jo Sapna Dekha Main Ney Tera
Adhi Jagee Adhi Soi Sapney Sanjoney Lagi Hoon
Bhulaya Hi Kub Tha Main Ney Tujh Ko
Terey Jism Ko Orh Ker Phir Sey Soney Lagi Hoon
Momo Choudhry
Copy
Shayud Us Ki Nazar Main Ham Shahkar Naheen
Apni Qismat Per Hamian Eitbaar Naheen
Muskaraney Ka Hamin Ikhtiyar Naheen
Kehlatey They Ham Chaman Ki Bulbul
Aangan Main Ab Sunti Chehkar Naheen
Kisa_E_Dard Sunain Ab Kis Ko
Dard Main Hamarey Shayud Wo Pukar Nheen
Mujasam Khawab Kaha Jata Hey Hamain
Shayud Us Ki Nazar Main Ham Shahkar Naheen
Karain Ab Kis Dil Sey Shayri
Tujhey Nazar Kerney Ko Ab Ashaar Naheen
Momo Choudhry
Copy
Terey Sath Zindagi Ki Ik Shaam Dekhtey
Dard To Bohut Dekhey Zindagi Main
Kaash Koi Ik Khoshi Ham Bhi Dekhtey
Is Dil Ki Durkhan Ho Jati Band
Jo Tujh Ko Kabhi Rubaru Dekhtey
Per Ham Is Qabil Kahan Tehrey
Terey Dil Main Apni Jaa Dekhtey
Piyaar Milnaa To Tehri Naseebon Ki Baat
Terey Sath Zindagi Ki Ik Shaam Dekhtey
Tera Mutabasam Chehra Rehta Hey Nigahon Main
Teri Sanson Main Muntaqil Apni Sansain Dekhtey
Momo Choudhry
Copy
Logon Sey Miltey Waqt Khaas Faslaa Rakhna
Us Ney Yeh Sabaaq Dia Hey Mujh Ko
Logon Sey Miltey Waqt Khaas Faslaa Rakhna
Chahay Andaz Houn Kisi Key Jitney Bhi Niraley
Mehfilon Main Bhi Apney Aap Ko Tenha Rakhna
Milaiye Koi Hath Jitni Bhi Mohabat Sey
Apney Hath Hamaisha Baandh Key Rakhna
Koi Jitna Bhi Kahey Naheen Reh Saktey Tumharey Bin
Apney Aap Ko In Balaaoun Sey Dour Rakhna
Laina Chahey Tum Ko Banhon Key Ghairey Main
Apney Aap Ko In Khataoun Sey Bachaiye Rakhna
Mutasir Na Hona Kisi Ki Muskurati Nazron Sey
Dekh Key Gehra Samander Paani Ki Kabhi Umeed Na Rakhna
Momo Choudhry
Copy
Lehjey Main Pehley Ki Halawat Naheen Rahi
Wo Silseley Wo Nisbat Naheen Rahi
Hijr Ki Qafiyat Ab Musalsal Naheen Rahi
To Bas Gaya Hey Mujh Main Is Terah Sey
Tenha Rehney Ki Ab Mujhey Aadat Naheen Rahi
Bhulana Bhi Chahon Tujh Ko To Mumkin Naheen
Terey Naam K Bhager Khuch Kerney Ki Himakat Nahen Rahi
Tujhey Apna Keh Ker Milaon Kis Sey
Aisa Kerney Ki To Ab Ijazat Naheen Rahi
Kerwahat Ghul Gai Hey Mujh Main Is Terah
Lehjey Main Pehley Ki Halawat Naheen Rahi
Muskarana Chahon To Muskuraon Kis Terah
Ab Kisi Terah Ki Mujh Main Khasiyat Naheen Rahi
Momo Choudhry
Copy
Lehjey Main Pehley Ki Halawat Naheen Rahi
Wo Silseley Wo Nisbat Naheen Rahi
Hijr Ki Qafiyat Ab Musalsal Naheen Rahi
To Bas Gaya Hey Mujh Main Is Terah Sey
Tenha Rehney Ki Ab Mujhey Aadat Naheen Rahi
Bhulana Bhi Chahon Tujh Ko To Mumkin Naheen
Terey Naam Key Bhagair Khuch Kerney Ki Himakaat Naheen Rahi
Tujhey Apna Keh Ker Milaon Kis Sey
Aisa Kerney Ki To Ab Ijazat Naheen Rahi
Kerwahat Ghul Gai Hey Mujh Main Is Terah
Lehjey Main Pehley Ki Halawat Naheen Rahi
Muskarana Chahon To Muskuraon Kis Terah
Ab Kisi Terah Ki Mujh Main Khasiyat Naheen Rahi
Momo Choudhry
Copy
Reh Jaian Na Hathon Key Lums Baqi
Anjan Hoon Ishq_E_Saffar Sey Shayhad
Lafz_E_Ishq Sey Ab Derney Lagi Hoon
Bhatak Na Jaon Kaheen Weeran Junglon Main
Khawabon Sey Ab Derney Lagi Hoon
Ghaiyl Ruuh Liyay Jaon Kahan
Teer_E_Nazar Sey Ab Derney Lagi Hoon
Door Bhagti Hoon Mehbub_E_Muhjasam Sey
Inayton Sey Ab Derney Lagi Hoon
Ho Ga Kia Fasan_E_Anjaam Bhala Behter
Kahanyon Sey Ab Derney Lagi Hoon
Reh Jaian Na Hathon Key Lums Baqi
Banhon Sey Ab Derney Lagi Hoon
Apney Sey Wabasta Ker Ley Mujh Ko
Zindagi Sey Ab Derney Lagi Hoon
Momo Choudhry
Copy
Reh Jaian Na Hathon Key Lums Baqi
Anjan Hoon Ishq_E_Saffar Sey Shayhad
Lafz_E_Ishq Sey Ab Derney Lagi Hoon
Bhatak Na Jaon Kaheen Weeran Junglon Main
Khawbon Sey Ab Derney Lagi Hoon
Ghaiyl Ruuh Liyay Jaon Kahan
Teer_E_Nazar Sey Ab Derney Lagi Hoon
Door Bhagti Hoon Mehbub_E_Muhjasam Sey
Inayton Sey Ab Derney Lagi Hoon
Ho Ga Kia Fasan_E_Anjaam Bhala Behter
Kahanyon Sey Ab Derney Lagi Hoon
Reh Jaian Na Hathon Key Lums Baqi
Banhon Sey Ab Derney Lagi Hoon
Apney Sey Wabasta Ker Ley Mujh Ko
Zindagi Sey Ab Derney Lagi Hoon
Momo Choudhry
Copy
Dam_E_Ulffat Main Na Giraftar Kerna Ab Kisi Ko
Itna To Merey Haal Per Ihsan Kia Ker
Muft Main Na Mujhey Badnaam Kia Ker
Malamat Kerta Hey Dil Bar Bar Mujh Ko
Merey Gird Na To Ishq Ka Ab Hisaar Kia Ker
Qalb Per Merey Tu Chor Bhi Dey Qabza
Aur Na Mujh Ko Ab Tu Zair_E_Baar Kia Ker
Dhurkanon Key Chalney Ka Kisa To Umer Bhar Chaley Ga
Mujh Ko Daboney Key Tareekey Na Tu Ikhtyaar Kia Ker
Dam_E_Ulfat Main Na Giraftar Kerna Ab Kisi Ko
Bey Sammer Meherbanyon Sey Ab Tu Ihteraz Kia Ker
Momo Choudhry
Copy
Us Key Naam Per Phir Kyun Nikel Atey Hain Ansu
Merey Her Lafz Sey Tapakta Hey Ansu
Mera Dil Rota Hey Khun Key Ansu
Lahoo Rang Lagti Hey Mujhey Apni Likhai
Nam Ankhon Sey Behtey Hain Bohut Ansu
Dil Ki Kitab Ka Phatta Hey Her Warq
Mita Deta Hey Her Lafz Ko Mera Ansu
Dukh Ki Leher Kerwatain Keti Hey Mujh Main
Gira Deta Hey Mohabat Ki Her Lakeer Ko Ansu
Sehmati Hey Is Dunya Ki Fiza Mujh Ko
Laal Rang Nazar Atta Hey Mujhey Apna Her Ansu
Chilman Key Pechey Chup Gai Hoon Main
Us Key Naam Per Phir Kyun Nikel Atey Hain Ansu
Momo Choudhry
Copy
Bhatakti Ruhh Ko Meri Weeraney Dey Diayay
Chand Lamhey Us Ney Mujhey Musta_A_Rr Dey Diayay
Dhair Sarey Gham Phir Bey Had_O_Hisab Dey Diayay
Ruhh Ko Dard Ki Soghaat Sey Ashnaa Ker Dia
Ankhon Ko Ashk_E_Rawan Musalsal Dey Diyay
Pehley Hi Khizaan Rasida Thi Meri Zindagi
Sukhey Pattey Oss Samait Nazraney Dey Diyay
Apney Sarey Rishton Ki Thi Us Ko Bery Fiqr
Bhatakti Ruhh Ko Meri Weeraney Dey Diayay
Lafz_E_Eitbar Main Daal Deen Dararain Us Ney
Soch Ko Meri Phir Thikaney Hazaron Dey Diyay
Momo Choudhry
Copy
Fehm_O_Farasat Sey Rasta Badal Jaya Kero
Muttabasam Chehron Pey Mat Jaya Kero
Khoon_E_Dil Na Yun Jalaya Kero
Sud_O_Ziyaan Sey To Ham Ho Chukey Aari
Dukhrey Na Kisi Ko Ab Sunaya Kero
Dharken_E_Dil Chalney Sey Hey Inkari
Behlawon Sey Khud Ko Na Behlaya Kero
Koi Khawb Dikhai Sitaron Key Tum Ko
Fehm_O_Farasat Sey Rasta Badal Jaya Kero
Tenha Rehna Acha Hey Zindagi Bher
Zahiri Shaksiyat Per Mat Jaya Kero
Momo Choudhry
Copy
Sapnon Ki Kirchyaan Chubhney Lagti Hain Ankhon Main
Khoon_E_Dil Sey Naam Un Ka Likh Ker Mitati Hoon
Barhaa Yeh Kertey Howey Phir Thaak Si Jati Hoon
Sapnon Ki Kirchyaan Chubhney Lagti Hain Ankhon Main
Akhir Main Tanha Hi Kyun Reh Jati Hoon
Ruuh Main Gonjti Siskyaan Ho Jati Hain Buland
Phir Apney Aap Ko Kosney Main Lag Jati Hoon
Chala Kerti Hoon Main Bhatki Ruuh Ki Manind
Apney Aap Sey Phir Kun Chupney Lag Jati Hoon
Juda Hota Kun Naheen Zehn_O_Dil Sey Merey
Is Ass Main Phir Zeher Peenay Lag Jati Hoon
Momo Choudhry
Copy
Meri Waja Sey Her Ik Museebat Khari Hey
Ankhon Main Naami Honton Pey Hansi Hey
Na Janey Dil Main Kyun Beykali Hey
Sab Ilzam Aa Gaaiy Hamarey Sir
Yeh Konsey Imtihan Ki Ghari Hey
Tum Khush Raho Jahan Bhi Raho
Zakhmon Main Abhi Tuk Takleef Bhaari Hey
Nasoor Hey Meri Zaat Is Samaj Key Liyay
Meri Waja Sey Her Ik Museebat Khari Hey
Dil Key Tootney Ka Na Poocho Ham Sey
Zindagi Sari Azmaishyon Sey Juri Hey
Momo Choudhry
Copy
Main Bhi Kitni Pagli Hoon Na
Main Bhi Kitni Pagli Hoon Na
Bin Jeewan Key Jeena Chahoon
Orrh Key Chunarya Dhani
Sang Sajan Key Rehna Chahoon
Nagri Apni Chor Key Sari
Dil Ki Basti Basna Chahoon
Main Bhi Kitni Pagli Hoon Na
Sab Rang Chor Key Apney
Kisi Key Rang Main Rangna Chahoon
Nindya Apni Chor Key Sari
Us Key Khawb Main Basna Chahoon
Ruuh Main Chubhey Kantey Ley Ker
Us Ki Ruuh Main Samaana Chahoon
Main Bhi Kitni Pagli Hoon Na
Dukh Apney Chor Key
Khusyaan Chunnana Chahoon
Chor Andheri Galyoon Ko
Ujala Samaitna Chahoon
Chubhtey Kantey Chor Key
Kalyaan Chunnana Chahoon
Main Bhi Kitni Pagli Hoon Na
Momo Choudhry
Copy
Pehley Kehtey Hain Apna Phir Tanha Choor Jatey Hain
Tum Kia Jano Zamanaa Kesey Berbad Kerta Hey
Pehley Kehtey Hain Apna Phir Tanha Choor Jatey Hain
Khuch Zakham Laga Jatey Hain Asey Gehraiy
Zindagi Bher Key Liyay Naqqsh Chor Jatey Hain
Loh_E_Dil Per Chor Datey Hain Tehreer Asi
Apni Yadoon Ki Perchayaan Chor Jatey Hain
Kis Asani Sey Bhichar Jatey Hain Ham Sey
Qismat Main Likhi Tanhayaan Chor Jatey Hain
Ashyanaa Jalaa Daitey Hain Apney Hi Diyay Sey
Ruuh Main Chupi Weeraniyan Chor Jatey Hain
Momo Choudhry
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets