Add Poetry

Mufti Fazal Ghafoor Poetry

Poet: Mufti Fazal Ghafoor By: Amjad, Islamabad

Musalmano sambhal jao sambhal jane ka waqt aaya
bahot soye ho tum ab hosh me aane ka waqt aaya

jala dali thi tum ne kishtiyan udlust sahil pe,
musalma phir teri tareekh dohrane ka waqt aaya,

jahan se 313 chale the tum musalmano,
unhi mazi ki rahon pe palat jane ka din aaya,

tapish suraj se lo aur aasman se bijliyan chhino,
Adoo k aashiyan pe aag barsane ka waqt aaya,

suno! Raoza-e-Athar se kya Awaaz aati hai,
musalmano meri hurmat pe kat jane ka waqt aaya
----------------------------------------------
Ghulaman E Muhammad Ko Sada Baydar Rehna Hai
Abhi Khatm e Nabuwat Par Bohat Hoshiyar Rehna Hai
----------------------------------------------
Yahi Masjid Yahi Kaba Yahi Gulzar Jannat Hai
Chaly aao musalmano yehi takhte MUHAMMAD hai
 

Rate it:
Views: 2759
01 Feb, 2022
Related Tags on Islamic Poetry
Load More Tags
More Islamic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets