✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Muhammad Rameez
Search
Add Poetry
Poetries by Muhammad Rameez
Sharab Shayari Funny
Rehta Hon Agar May Sharab Khaney May To Mujh Ko Sharabi Na Samjho "Saaqi"
Har Wo Shaks Jo Hospital Se Nikley Wo Doctor Nahi Hota
Muhammad Rameez
Copy
Zaat-e-Khuda
Nadan Hain Jo Rakhtey Hain Umeed Kisi Per
Ik "Zaat-e-Khuda" K Siwa Koi Kisi Ka Nahi Hota
Muhammad Rameez
Copy
Aarzoo K Diye
Tum Aarzoo K Diye Jala K
Khuda Se Achi Umeed Rakhna
Khizan K Mosam Ki Rukhsati Pe
Bahar-e-Gul Ki Naveed Rakhna
Wo Tera RUB Hai, Wo Tera Apna
Usi Ko Apna HABIB Rakhna
Usi Se Karna Tu Dil Ki Baaten
Tu Aankh May EK Nami Si Rakhna
Wo Tera RUB Hai, Wo Tera Apna
Usi Se Raaz-o-Niaz Rakhna
Usi Se Gham Ki Kahani Kehna
Ghamon Ko Dil May Nihan Na Rakhna
RAHEEM Hai Wo, KAREEM Hai Wo
Tu RUB Ko Apne Aziz Rakhna
Hai Saans Se Bhi Qareeb Tar Wo
Usi Ko Apne Kareeb Rakhna
Muhammad Rameez
Copy
Musalman
Aisa Nahi K Nafs Ka Shetaan Mar Gaya
Shetaan To Hai Zinda Haan Insan Mar Gaya
Sajdon May Sar Jhukaney Ki Fursat Nahi Rahi
Momin Ki Rooh Main Basa Musalman Mar Gaya
Masjid To Pakki Ban Gai Or Shandaar Bhi
Kachi Hain "RUB" Se Chahaten Emaan Mar Gaya
Baatil Ko Jhoot Kehney Ki Taqat Nahi Rahi
Ho Haq Sar-Buland Ye Armaan Mar Gaya
Aey Insan Hairat Hai Teri Qismat Pe!
Kis Tarah Paida Howa Tha Khush-Numa Or Viraan Mar Gaya
Muhammad Rameez
Copy
Bigra Mera Naseeb To....
Bigra Mera Naseeb To Sub Kuch Sanwar Gaya
Kaanton Pe Main Gira Or Zamana Guzar Gaya
Toofan Se Thak K Mene Kashti Hi Chorr Di
Jab Doob Main Chuka To Samandar Tehar Gaya
Yaadein Tere Wajood Ki Rakhien Thein Mere Pas
Un Ko Samaitney May Main Khud Bikhar Gaya
Manzil Ko Dhondta Tha Musafir Ye Kiya Howa
Ek Rah-Guzar Pe Us Ka Safar Bhi Bicharr Gaya
Dhalney Lagi Hai Raat Chaley Jao Apne Ghar
Mujh Ko Bhi Dhondna Hai Mera Ghar Kidhar Gaya
Muhammad Rameez
Copy
Wafaa
Mene Jab Yaad Kiya, Yaad Wo Aya Mujh Ko
Is Se Ziyada Paband-E-Wafa Kiya Karna
Muhammad Rameez
Copy
Umeed
"Sookhey Patton Ki Tarha Thehrey They Hum To Mola
Kisi Ne Sameta Bhi Tha Humain To Jalaney K Liye"
Muhammad Rameez
Copy
Roti, Kaprra or Makaan
Agar Yahi Haal Raha Saaqi Tere Me-Khano Ka
Dhair Lag Jaega Tootey Hoey Pay-Mano Ka
Qahet Dunya Main Hain Esay Musalmano Ka
Zorr Jo Torr Diya Kartey They Tufano Ka
Koi Ghulam Ali, Na Tipu Hai, Na Ibn-E-Qasim
Raasta Saaf Hai Barrhtey Hoey Shaitano Ka
Jaisey Chaho, Jahan Chaho Baha Do Is Ko
Khoon Is Dor May Sasta Hai Musalmano Ka
Jin K Hotey Hoey Loot Jaey Ghareebo K Makaan
Wo Waada Kartey Hain Roti, Kaprra Or Makaano Ka
Muhammad Rameez
Copy
Rehne Do...!
Saarey Waadon Ko Bhula Sakti Hon.... Lekin Rehne Do...!
Main Tumhain Chorr K Ja Sakti Hon.... Lekin Rehne Do...!
Tum Jo Her Morr Pe Keh Detey Ho KHUDA HAFIZ...!
Faisla May Bhi Suna Sakti Hon.... Lekin Rehne Do...!
Tum Ne Jo Baat Ki DIL Ko Dukhaney Wali...!
Us Pe May Muskura Bhi Sakti Hon.... Lekin Rehne Do...!
Sharam Aaeygi Tumhain Warna Tumhare WAADEY...!
Main Tumhain YAAD Dila Bhi Sakti Hon.... Lekin Rehne Do...!
Muhammad Rameez
Copy
Barish
Tum Ne Barisho Ko Mahaz Baraste Dekha Hai
Mene Aksar Barisho Ko Kuch Kehte Sunte Dekha Hai
Tum Dekhte Ho Barisho Ki Jal Thal Hr Saal
Mene Barsaat Ko Baarha Palko Pe Machalte Dekha Hai
Kese Mangoo Phir Barasta Sawan Apne RAB Se
K In Aankho Ne Bastiyo Ko Sawan May Ujarte Dekha Hai
Seekh Gae Hum Barisho Ko Apne Andar Utaarna
Or Phir Sab Ne Hume Hr Pal Hr Dum Hanste Dekha Hai
Muhammad Rameez
Copy
Tanha Musafir
Thukra Kr Mohabbat Kaha Jane Ka Iraada Hai
Mujhe Zindagi K Kis Morr Pr Chorr Jane Ka Iraada HaiYe Jo Ab Khafa Khafa Se Rehne Lage Ho Dost
Ye Pray Ka Urooj Hai Ya Chorr Jane Ka Iraada Hai
Jate Jate Ye To Bata Jao Ae Jane Wafa
Mere Pyar Mai Kami Thi Ya Kisi Or Ko Pane Ka Iraada Hai
Mere Baad Meri Yaad Aae To Murr Kr Na Dekhna Ae Dost Mere
Q K Aap K Baad Mera Bhi Is Dunya Ko Chorr Jane Ka Iraada Hai
Muhammad Rameez
Copy
Bey Los Mohabbat
Piyaas Aesi Hai K Pee Jaun Sumandar Sara
Naseeb Aesa K Pee Ne Ko Zahar Bhi Nahi
Bay Los Wafain Koi Hum Se Seekhey
Jisey Tout Kr Chaha Usey Khabar Bhi Nahi
Muhammad Rameez
Copy
Zindagi
Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do
Meri Zindagi Se Bani Nahi
Koi Zindagi Pe Kare Yaqeen
Mera Zindagi Pe Yaqeen Nahi
Ye Safar Bhi! Kesa Safar Hai Yaro
Main Kabhi Kahi Tu Kabhi Kahi
Mujhe Jis Pyar Ki Talash Thi
Wo Mila Magar Mila Nahi
Main Wo Baat Hoon Jo Bani Nahi
Main Wo Raat Hoon Jo Kati Nahi
Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do
Meri Zindagi Se Bani Nahi
Muhammad Rameez
Copy
A Voice Of A Father
Umar Bhar Jis Phool Ki Mene Parwarish Ki Sagar
Jab Khusbu K Qaabil Huwa To Ghairon Ko De Diya
(It’s A Voice Of A Father Dedicate To All Daughters’)
Muhammad Rameez
Copy
Mujhe Bus Itni Si Dua Do
Mujhe Bus Itni Si Dua Do
Woh Sarey Khat Jala Do
Woh Sari Baaten Bhula Do
Woh Andekhey Anjane Sapney
Dil Key Kisi Koney Mein Chupa Do
Jis Ney Hamein Mayus Kiya
Woh Sari Umidein Mita Do
Raat Abhi Bohat Baqi Hai
Raat Ke Andhere Ko Mita Do
Koi Rota Hoga Ab Bhi Tanha
Usey Jaa K Yeh Baat Bhi Batla Do
Socha Tha Tumhein Kabhi Apna Bananey Ka
Woh Sarey Sapney Ko Ab Dhuwaan Do
Aaj Raat Bohat Zoron Ki Barsaat Hai
Aankhon K Rastey Aansooon Ko Baha Do
Sath Dekhey The Jo Sapney Sab Choor Ho Gai
Tum Kabhi Yaad Na Aao Mujhey Bas Itni Si Dua Do
Muhammad Rameez
Copy
کردار
اپنے کردار کو ہمیشہ موسم سے بچائے رکھنا
لوٹ کر پھول میں کبھی خوشبوں نہیں آتی
Muhammad Rameez
Copy
Kaati Hai Ghum Ki Raat
Kaati Hai Ghum Ki Raat Baray Ehtram Se
Aksar Bujha Chuke Hain Chiragon Ko Shaam Se
Roshan Hai Apni Bazm Or Is Ehtimaam Se
Kuch Dil Bhi Jal Rahay Hain Chiragon K Naam Se
Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiiye Magar
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahu Dil K Jaam Se
Subha-E-Bahar Hamko Bulati Rahi Magar
Ham Khailte Rahay Kisi Zulfon Ki Shaam Se
Har Saans Per Hai Maut Ka Pehra Laga Hua
Ahista Ay Hayat Guzar Is Maqaam Se
Kaati Tamaam Umar Fareb-E-Bahar Main
Kaante Samet'te Rahay Phoolon K Naam Se
Ye Aur Baat Hai K DUA Ham Ne Usey Di
Awaaz Us Ne Di Hai Hamain Har Maqaam Se
Muhammad Rameez
Copy
Jo Humare Sath Huwa Hai Hum Keh Nahi Saktay
Jo Tumhare Sath Huwa Tum Kehtey Chalo
Jo Humare Sath Huwa Hai Hum Keh Nahi Saktey
Tum Apney Dil Ka Haal Chaho To Shoaq Se Sunao
Hum Apney Dil Ka Haal Biyaan Nahi Kr Saktey
Ajab Haal Hai Qismat Ka Humari
Ab Kiya Batain Tumhein K Hum Bata Bhi Nahi Saktay
Chaha Hai Hum Ne Bhi Ek Haseen Larki Ko
Pr Darta Hai Dil K Shayed Usey Pa Nahi Saktay
Hum Din Bhar Ab Har Pal Usay Soachtay Rehtay Hein
Khuda Janay Kahan Hai Woh Usey Dhoondtay Rahtay Hain
Dar Hai K Dhoond To Lein Hum Usey Zamanay Main
Magar Dhoondney K Baad Bhi Izhaar Kr Nahi Saktay
Hum Apne Dil Ki Bechaini To Jaantay Hein Aamir
Magar Us K Dil Mein Kiya Hai Abhi Kuch Keh Nahi Saktay
Ek Mukhtasar Si Mahfil Mein Pehli Baar Mili Thi Wo Humey
Ab Milay Ya Na Milay Kuch Keh Nahi Saktay
Apnay Baarey Mein Poocha To Kaha "Achay Lagay Ho Humey"
Mager Is Achey Lagay Alfaaz Ko Mohabbat Keh Nahi Saktay
Jo Tumhare Sath Huwa Chaho To Kehdo
Jo Humare Sath Huwa Hai Hum Keh Nahi Saktay
Muhammad Rameez
Copy
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahin Tha
Terey Baarey Mein Jab Socha Nahin Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahin Tha
Teri Tasveer Sey Karta Tha Baatein
Merey Kamrey Mein Aaina Nahin Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahin Tha
Samander Ne Mujhey Pyaasa Hi Rakha
Mein Jab Sehra Mein Tha Pyaasa Nahin Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahin Tha
Manaaney Roothney Ke Khail Mein Hum
Bichhar Jaaein Gey, Yeh Socha Nahin Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahin Tha
Suna Bund Kar Leen Uss Ne Aankhein
Kiya Raaton Sey Woh Soya Nahin Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahin Tha
Muhammad Rameez
Copy
Gham-e-Zendagi Teri Raha Mein
Gham-E-Zendagi Teri Raha Mein
Shab-E-Arzo Teri Chaha Mein
Ju Ujar Gia Wo Basa Nahi
Ju Bichar Gia Wo Mila Nahi
Wo Ju Dil-O-Nazar Ka Saror Tha
Meray Pass Reh Kar Bhi Door Tha
Wohe Ik Gulab Umid Ka
Meri Shakh-E-Jaan Pe Khaila Nahi
Mujhay Manziloon Ki Khabar Nahi
Usay Rastoon Ka Pata Nahi
Muhammad Rameez
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets