Mujhay Woh "Manzar Bohat Haseen" Lagta Hay
Mujhay Woh "Manzar Bohat Haseen" Lagta Hay
Jab Koi Titli Phool'on Par Mandla Rahi Ho
Koyal Ki Awaz Saba Ko Koi Geet Suna Rahi Ho
Jab Dhoodhia Badal Asman Par Par Phelaay
Hari Hari Ghaas Par Halki Halki Dhoop Namoodar Ho Jay
Mujhay Woh Manzar Bohat Haseen Lagta Hay
Mujhay Woh Manzar Bohat Haseen Lagta Hay
Jab Suraj Ki Kirnain Sehar K Chehray Par Muskuranay Lagain
Aur Dhanak K Rangon Main Mausam Nahanay Lagay
Jab Halkay Halkay Sa'ay Awara Sarko'n Par Sair Ko Niklain
Jab Bhaag Main Khilkhilanay Lagain Kon'plain
Mujhay Woh Manzar Bohat Haseen Lagta Hay
Mujhay Woh Manzar Bohat Haseen Lagta Hay
Jab Chand Apni Chandni Ko Lay Kar Kahin Kh'ho Jay
Aur Taariki-E-Shab Aghosh-E-Sehar Main So Jaay
Jab Parinday Apnay Gho'nslon Say Nikal Aain
Aur Jugnoo'on Ka Safar Khatam Ho Jaay
Mujhay Woh Manzar Bohat Haseen Lagta Hay
Mujhay Woh Manzar Bohat Haseen Lagta Hay
Jab Darya Ki Mojain Aks-E-Aasman Main Dhal Jaain
Jab Sehra Ki Dhoop Say Samandar Ka Shore Mil Jaay
Kahin D..D..Door Halki Si Chh'aon Khari Ho
Jis Ka Nazool Ghari Do Ghari Ho
Mujhay Woh Manzar Bohat Haseen Lagta Hay
Mujhay Woh Manzar Bohat Haseen Lagta Hay