mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin
koi aur bhi hai tere siwa tu agar nahin to jahan nahin
padi jis taraf ko nigah yan nazar aa gaya hai Khuda hi wan
ye haiñ go ki aankhon ki putliyan mere dil mein ja-e-butan nahin
mere dil ke shishe ko bewafa tu ne Tukde Tukde hi kar diya
mere pas to wahi ek tha yan dukan-e-shisha-garan nahin
mujhe raat sari hi tere han kaTe kyun ki rote na shama san
ki ho sake hai kuchh ab bayan na ye baat hai ki zaban nahin
koi samjhe kyun ki ye muddaa ki paheli sa hai ye majra
kaha main tujhe nahin chah kya laga kahne mujh se ki han nahin
na mila hamein koi nukta-dan ye bipat suna den bhala kahan
na hua sabhon pe wahi ayan jo kasu se yan to nihan nahin
tujhe dard kyun ki sunaun main na KHuda kisi ko dikhae ye
jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kya ki us ka bayan nahin