Mujhko Aap Apna Aap Dijiyega
Aur Kuchh Bhi Na Mujh Se Lijiyega
Aap Bemisl Bemisaal Hun Main
Mujh Siwa Aap Kis Pe Rijhiyega
Aap Jo Hain Azal Se Hi Benaam
Naam Mera Kabhi Toh Lijiyega
Aap Bas Mujh Mein Hi Toh Hain So Aap
Mera Behad Khyaal Kijiyega
Hai Agar Waaqai Sharaab Haraam
Aap Hothon Se Mere Pijiyega
Intezaari Hun Apna Main Din Raat
Ab Mujhe Aap Bhej Dijiyega
Aap Mujh Ko Bahut Pasand Aaye
Aap Meri Kameez Sijiyega
Dil Ke Rishte Hain Khoon Jhooth Ki Sach
Ye Muamma Kabhi Na Boojhiyega
Hai Mere Jism-O Jaan Ka Maazi Kya ?
Mujh Se Bas Ye Kabhi Na Poochiyega
Mujh Se Meri Kamaai Ka Sar-E Shaam
Paai Paai Hisaab Lijiyega
Zindagi Kya Hai Ik Hunar Karna
So Qareene Se Zehar Pijiyega
Main Jo Hun ‘Jaun Eliya’ Hun Janaab
Iska Behad Lihaaz Kijiyega