✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Kashif Raza Kashi
Search
Add Poetry
Poetries by Kashif Raza Kashi
Ai Jazba-E-Dil Gar Main Chahun Har Chiz Muqabil Aa Jae
Ai Jazba-E-Dil Gar Main Chahun Har Chiiz Muqabil Aa Jaa.E
Manzil Ke Liye Do Gaam Chalun Aur Samne Manzil Aa Jaa.E
Ai Dil Ki Lagi Chal Yunhi Sahi Chalta To Huun Un Ki Mahfil Men
Us Vaqt Mujhe Chaunka Dena Jab Rang Pe Mahfil Aa Jaa.E
Ai Rahbar-E-Kamil Chalne Ko Tayyar To Huun Par Yaad Rahe
Us Vaqt Mujhe Bhatka Dena Jab Samne Manzil Aa Jaa.E
Haan Yaad Mujhe Tum Kar Lena Avaz Mujhe Tum De Lena
Is Rah-E-Mohabbat Men Koi Darpesh Jo Mushkil Aa Jaa.E
Ab Kyuun Dhundun Vo Chashm-E-Karam Hone De Sitam Bala-E-Sitam
Main Chahta Huun Ai Jazba-E-Ġham Mushkil Pas-E-Mushkil Aa Jaa.E
Is Jazba-E-Dil Ke Baare Men Ik Mashvara Tum Se Leta Huun
Us Vaqt Mujhe Kya Lazim Hai Jab Tujh Pe Mira Dil Aa Jaa.E
Ai Barq-E-Tajalli Kaundh Zara Kya Mujh Ko Bhi Muusa Samjha Hai
Main Tuur Nahin Jo Jal Ja.Un Jo Chahe Muqabil Aa Jaa.E
Kashti Ko Khuda Par ChhoḌ Bhi De Kashti Ka Khuda Khud Hafiz Hai
Mushkil To Nahin In Maujon Men Bahta Hua Sahil Aa Jaa.E
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Dil Mein Ek Lahr Si Uthi Hai Abhi
Dil Men Ik Lahr Si Uthi Hai Abhi
Koi Taaza Hava Chali Hai Abhi
Kuchh To Nazuk Mizaj Hain Ham Bhi
Aur Ye Chot Bhi Na.I Hai Abhi
Shor Barpa Hai Khana-E-Dil Men
Koi Divar Si Giri Hai Abhi
Bhari Duniya Men Ji Nahin Lagta
Jaane Kis Chiiz Ki Kami Hai Abhi
Tu Sharik-E-Sukhan Nahin Hai To Kya
Ham-Sukhan Teri Khamushi Hai Abhi
Yaad Ke Be-Nishan Jaziron Se
Teri Avaz Aa Rahi Hai Abhi
Shahr Ki Be-Charagh Galiyon Men
Zindagi Tujh Ko Dhundti Hai Abhi
So Ga.E Log Us Haveli Ke
Ek KhiḌki Magar Khuli Hai Abhi
Tum To Yaaro Abhi Se Uth Baithe
Shahr Men Raat Jagti Hai Abhi
Vaqt Achchha Bhi Aa.Ega 'Nasir'
Gham Na Kar Zindagi PaḌi Hai Abhi
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Se Jal Jate Hain
Garmi-E-Hasrat-E-Nakam Se Jal Jaate Hain
Ham Charaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain
Sham.A Jis Aag Men Jalti Hai Numa.Ish Ke Liye
Ham Usi Aag Men Gumnam Se Jal Jaate Hain
Bach Nikalte Hain Agar Atish-E-Sayyal Se Ham
Shola-E-Ariz-E-Gulfam Se Jal Jaate Hain
Khud-Numa.I To Nahin Sheva-E-Arbab-E-Vafa
Jin Ko Jalna Ho Vo Aram Se Jal Jaate Hain
Rabt-E-Baham Pe Hamen Kya Na Kahenge Dushman
Ashna Jab Tire Paigham Se Jal Jaate Hain
Jab Bhi Aata Hai Mira Naam Tire Naam Ke Saath
Jaane Kyuun Log Mire Naam Se Jal Jaate Hain
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Dekh To Dil Ki Jaan Se Uthta Hai
Dekh To Dil Ki Jaan Se Uthta Hai
Ye Dhuan Sa Kahan Se Uthta Hai
Gor Kis Diljale Ki Hai Ye Falak
Shola Ik Sub.H Yaan Se Uthta Hai
Khana-E-Dil Se Zinhar Na Ja
Koi Aise Makan Se Uthta Hai
Naala Sar Khinchta Hai Jab Mera
Shor Ik Asman Se Uthta Hai
LaḌti Hai Us Ki Chashm-E-Shokh Jahan
Ek Ashob Vaan Se Uthta Hai
Sudh Le Ghar Ki Bhi Shola-E-Avaz
Duud Kuchh Ashiyan Se Uthta Hai
Baithne Kaun De Hai Phir Us Ko
Jo Tire Astan Se Uthta Hai
Yuun Uthe Aah Us Gali Se Ham
Jaise Koi Jahan Se Uthta Hai
Ishq Ik 'Mir' Bhari Patthar Hai
Kab Ye Tujh Na-Tavan Se Uthta Hai
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Mere Ham-Nafas Mere Ham-Nawa Mujhe Dost Ban Ke Dagha Na De
Mere Ham-Nafas Mere Ham-Nava Mujhe Dost Ban Ke Dagha Na De
Main Huun Dard-E-Ishq Se Jan-Ba-Lab Mujhe Zindagi Ki Dua Na De
Mere Dagh-E-Dil Se Hai Raushni Isi Raushni Se Hai Zindagi
Mujhe Dar Hai Ai Mire Chara-Gar Ye Charagh Tu Hi Bujha Na De
Mujhe Chhod De Mire Haal Par Tira Kya Bharosa Hai Chara-Gar
Ye Tiri Navazish-E-Mukhtasar Mira Dard Aur Badha Na De
Mera Azm Itna Buland Hai Ki Para.E Sho.Alon Ka Dar Nahin
Mujhe Khauf Atish-E-Gul Se Hai Ye Kahin Chaman Ko Jala Na De
Vo Uthe Hain Le Ke Khum-O-Subu Are O 'Shakil' Kahan Hai Tu
Tira Jaam Lene Ko Bazm Men Koi Aur Haath Badha Na De
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Hangama Hai Kyun Barpa Thodi Si Jo Pi Li Hai
Hangama Hai Kyuun Barpa Thodi Si Jo Pi Li Hai
Daaka To Nahin Maara Chori To Nahin Ki Hai
Na-Tajraba-Kari Se Vaa.Iz Ki Ye Hain Baten
Is Rang Ko Kya Jaane Puchho To Kabhi Pi Hai
Us Mai Se Nahin Matlab Dil Jis Se Hai Begana
Maqsud Hai Us Mai Se Dil Hi Men Jo Khinchti Hai
Ai Shauq Vahi Mai Pi Ai Hosh Zara So Ja
Mehman-E-Nazar Is Dam Ek Barq-E-Tajalli Hai
Vaan Dil Men Ki Sadme Do Yaan Ji Men Ki Sab Sah Lo
Un Ka Bhi Ajab Dil Hai Mera Bhi Ajab Ji Hai
Har Zarra Chamakta Hai Anvar-E-Ilahi Se
Har Saans Ye Kahti Hai Ham Hain To Khuda Bhi Hai
Suraj Men Lage Dhabba Fitrat Ke Karishme Hain
But Ham Ko Kahen Kafir Allah Ki Marzi Hai
Ta.Alim Ka Shor Aisa Tahzib Ka Ghul Itna
Barakat Jo Nahin Hoti Niyyat Ki Kharabi Hai
Sach Kahte Hain Shaikh 'Akbar' Hai Ta.At-E-Haq Lazim
Haan Tark-E-Mai-O-Shahid Ye Un Ki Buzurgi Hai
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Sarakti Jae Hai Rukh Se Naqab Aahista Aahista
Sarakti Jaa.E Hai Rukh Se Naqab Ahista Ahista
Nikalta Aa Raha Hai Aftab Ahista Ahista
Javan Hone Lage Jab Vo To Ham Se Kar Liya Parda
Haya Yak-Lakht Aa.I Aur Shabab Ahista Ahista
Shab-E-Furqat Ka Jaaga Huun Farishto Ab To Sone Do
Kabhi Fursat Men Kar Lena Hisab Ahista Ahista
Saval-E-Vasl Par Un Ko Adu Ka Khauf Hai Itna
Dabe Honton Se Dete Hain Javab Ahista Ahista
Vo Bedardi Se Sar Katen 'Amir' Aur Main Kahun Un Se
Huzur Ahista Ahista Janab Ahista Ahista
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Tum Aae Ho Na Shab-E-Intizar Guzri Hai
Tum Aa.E Ho Na Shab-E-Intizar Guzri Hai
Talash Men Hai Sahar Baar Baar Guzri Hai
Junun Men Jitni Bhi Guzri Ba-Kar Guzri Hai
Agarche Dil Pe Kharabi Hazar Guzri Hai
Hui Hai Hazrat-E-Naseh Se Guftugu Jis Shab
Vo Shab Zarur Sar-E-Ku-E-Yar Guzri Hai
Vo Baat Saare Fasane Men Jis Ka Zikr Na Tha
Vo Baat Un Ko Bahut Na-Gavar Guzri Hai
Na Gul Khile Hain Na Un Se Mile Na Mai Pi Hai
Ajiib Rang Men Ab Ke Bahar Guzri Hai
Chaman Pe Gharat-E-Gul-Chin Se Jaane Kya Guzri
Qafas Se Aaj Saba Be-Qarar Guzri Hai
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya
Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhal Kar Diya
Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kar Diya
Ai Miri Gul-Zamin Tujhe Chaah Thi Ik Kitab Ki
Ahl-E-Kitab Ne Magar Kya Tira Haal Kar Diya
Milte Hue Dilon Ke Biich Aur Tha Faisla Koi
Us Ne Magar Bichhadte Vaqt Aur Saval Kar Diya
Ab Ke Hava Ke Saath Hai Daman-E-Yar Muntazir
Banu-E-Shab Ke Haath Men Rakhna Sambhal Kar Diya
Mumkina Faislon Men Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha
Ham Ne To Ek Baat Ki Us Ne Kamal Kar Diya
Mere Labon Pe Mohr Thi Par Mere Shisha-Ru Ne To
Shahr Ke Shahr Ko Mira Vaqif-E-Hal Kar Diya
Chehra O Naam Ek Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Vaqt Ne Kis Shabih Ko ḳhvab O ḳhayal Kar Diya
Muddaton Ba.Ad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila Kiya
Mansab-E-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahal Kar Diya
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Ulti Ho Gain Sab Tadbiren Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya
Ulti Ho Ga.Iin Sab Tadbiren Kuchh Na Dava Ne Kaam Kiya
Dekha Is Bimari-E-Dil Ne Akhir Kaam Tamam Kiya
Ahd-E-Javani Ro Ro Kaata Piiri Men Liin Ankhen Muund
Ya.Ani Raat Bahut The Jaage Sub.H Hui Aram Kiya
Harf Nahin Jan-Bakhshi Men Us Ki Khubi Apni Qismat Ki
Ham Se Jo Pahle Kah Bheja So Marne Ka Paiġham Kiya
Nahaq Ham Majburon Par Ye Tohmat Hai Mukhtari Ki
Chahte Hain So Aap Karen Hain Ham Ko Abas Badnam Kiya
Saare Rind Aubash Jahan Ke Tujh Se Sujud Men Rahte Hain
Banke Tedhe Tirchhe Tikhe Sab Ka Tujh Ko Imaam Kiya
Sarzad Ham Se Be-Adabi To Vahshat Men Bhi Kam Hi Hui
Koson Us Ki Or Ga.E Par Sajda Har Har Gaam Kiya
Kis Ka Ka.Aba Kaisa Qibla Kaun Haram Hai Kya Ehram
Kuche Ke Us Ke Bashindon Ne Sab Ko Yahin Se Salam Kiya
Shaikh Jo Hai Masjid Men Nanga Raat Ko Tha Mai-Khane Men
Jubba Khirqa Kurta Topi Masti Men In.Aam Kiya
Kaash Ab Burqa Munh Se Utha De Varna Phir Kya Hasil Hai
Aankh Munde Par Un Ne Go Didar Ko Apne Aam Kiya
Yaan Ke Sapid O Siyah Men Ham Ko Dakhl Jo Hai So Itna Hai
Raat Ko Ro Ro Sub.H Kiya Ya Din Ko Juun Tuun Shaam Kiya
Sub.H Chaman Men Us Ko Kahin Taklif-E-Hava Le Aa.I Thi
Rukh Se Gul Ko Mol Liya Qamat Se Sarv Ġhulam Kiya
Sa.Ad-E-Simin Donon Us Ke Haath Men La Kar Chhod Diye
Bhule Us Ke Qaul-O-Qasam Par Haa.E Khayal-E-Kham Kiya
Kaam Hue Hain Saare Zaa.E.A Har Saa.At Ki Samajat Se
Istiġhna Ki Chauguni Un Ne Juun Juun Main Ibram Kiya
Aise Ahu-E-Ram-Khurda Ki Vahshat Khoni Mushkil Thi
Sehr Kiya E.Ajaz Kiya Jin Logon Ne Tujh Ko Raam Kiya
'Mir' Ke Din-O-Maz.Hab Ko Ab Puchhte Kya Ho Un Ne To
Qashqa Khincha Dair Men Baitha Kab Ka Tark Islam Kiya
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Apni Dhun Mein Rahta Hun
Apni Dhun Men Rahta Huun
Main Bhi Tere Jaisa Huun
O Pichhli Rut Ke Sathi
Ab Ke Baras Main Tanha Huun
Teri Gali Men Saara Din
Dukh Ke Kankar Chunta Huun
Mujh Se Aankh Mila.E Kaun
Main Tera A.Ina Huun
Mera Diya Jala.E Kaun
Main Tira Khali Kamra Huun
Tere Siva Mujhe Pahne Kaun
Main Tire Tan Ka Kapda Huun
Tū Jivan Ki Bhari Gali
Main Jangal Ka Rasta Huun
Aati Rut Mujhe Ro.Egi
Jaati Rut Ka Jhonka Huun
Apni Lahr Hai Apna Rog
Dariya Huun Aur Pyasa Huun
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Kal Chaudhwin Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kal Chaudhvin Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tira
Kuchh Ne Kaha Ye Chand Hai Kuchh Ne Kaha Chehra Tira
Ham Bhi Vahin Maujud The Ham Se Bhi Sab Puchha Kiye
Ham Hans Diye Ham Chup Rahe Manzur Tha Parda Tira
Is Shahr Men Kis Se Milen Ham Se To Chhutin Mahfilen
Har Shakhs Tera Naam Le Har Shakhs Divana Tira
Kuche Ko Tere Chhod Kar Jogi Hi Ban Jaa.En Magar
Jangal Tire Parbat Tire Basti Tiri Sahra Tira
Ham Aur Rasm-E-Bandagi Ashuftagi Uftadgi
Ehsan Hai Kya Kya Tira Ai Husn-E-Be-Parva Tira
Do Ashk Jaane Kis Liye Palkon Pe Aa Kar Tik Ga.E
Altaf Ki Barish Tiri Ikram Ka Dariya Tira
Ai Be-Daregh O Be-Aman Ham Ne Kabhi Ki Hai Fughan
Ham Ko Tiri Vahshat Sahi Ham Ko Sahi Sauda Tira
Ham Par Ye Sakhti Ki Nazar Ham Hain Faqir-E-Rehguzar
Rasta Kabhi Roka Tira Daman Kabhi Thama Tira
Haan Haan Tiri Surat Hasin Lekin Tu Aisa Bhi Nahin
Ik Shakhs Ke Ash.Ar Se Shohra Hua Kya Kya Tira
Bedard Sunni Ho To Chal Kahta Hai Kya Achchhi Ghazal
Ashiq Tira Rusva Tira Sha.Ir Tira 'Insha' Tira
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Bas-Ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona
Bas-Ki Dushvar Hai Har Kaam Ka Asan Hona
Aadmi Ko Bhi Mayassar Nahin Insan Hona
Girya Chahe Hai kharabi Mire Kashane Ki
Dar O Divar Se Tapke Hai Bayaban Hona
Va-E-Divangi-E-Shauq Ki Har Dam Mujh Ko
Aap Jaana Udhar Aur Aap Hi Hairan Hona
Jalva Az-Bas-Ki Taqaza-E-Nigah Karta Hai
Jauhar-E-A.Ina Bhi Chahe Hai Mizhgan Hona
Ishrat-E-Qatl-Gah-E-Ahl-E-Tamanna Mat Puchh
Id-E-Nazzara Hai Shamshir Ka Uryan Hona
Le Ga.E khaak Men Ham Dagh-E-Tamanna-E-Nashat
Tu Ho Aur Aap Ba-Sad-Rang-E-Gulistan Hona
Ishrat-E-Para-E-Dil Zakhm-E-Tamanna Khana
Lazzat-E-Rish-E-Jigar Gharq-E-Namak-Dan Hona
Ki Mire Qatl Ke Ba.Ad Us Ne Jafa Se Tauba
Haa.E Us Zud-Pashiman Ka Pasheman Hona
Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'Ghalib'
Jis Ki Qismat Men Ho Ashiq Ka Gareban Hona
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Tang Aa Chuke Hain Kashmakash-E-Zindagi Se Hum
Tang Aa Chuke Hain Kashmakash-E-Zindagi Se Ham
Thukra Na Den Jahan Ko Kahin Be-Dili Se Ham
Mayusi-E-Ma.Al-E-Mohabbat Na Puchhiye
Apnon Se Pesh Aa.E Hain Beganagi Se Ham
Lo Aaj Ham Ne Tod Diya Rishta-E-Umid
Lo Ab Kabhi Gila Na Karenge Kisi Se Ham
Ubhrenge Ek Baar Abhi Dil Ke Valvale
Go Dab Ga.E Hain Bar-E-Ġham-E-Zindagi Se Ham
Gar Zindagi Men Mil Ga.E Phir Ittifaq Se
Puchhenge Apna Haal Tiri Bebasi Se Ham
Allah-Re Fareb-E-Mashiyyat Ki Aaj Tak
Duniya Ke Zulm Sahte Rahe khamushi Se Ham
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayar Mein
Lagta Nahin Hai Dil Mira Ujde Dayar Men
Kis Ki Bani Hai Alam-E-Na-Pa.Edar Men
Kah Do In Hasraton Se Kahin Aur Ja Basen
Itni Jagah Kahan Hai Dil-E-Daġh-Dar Men
Kanton Ko Mat Nikal Chaman Se O Baġhban
Ye Bhi Gulon Ke Saath Pale Hain Bahar Men
Bulbul Ko Baġhban Se Na Sayyad Se Gila
Qismat Men Qaid Likkhi Thi Fasl-E-Bahar Men
Kitna Hai Bad-Nasib 'Zafar' Dafn Ke Liye
Do Gaz Zamin Bhi Na Mili Kū-E-Yar Men
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Asar Usko Zara Nahin Hota
Asar Us Ko Zara Nahin Hota
Ranj Rahat-Faza Nahin Hota
Bevafa Kahne Ki Shikayat Hai
To Bhi Vada-Vafa Nahin Hota
Zikr-E-Aghyar Se Hua Ma.Alum
Harf-E-Naseh Bura Nahin Hota
Kis Ko Hai Zauq-E-Talkh-Kami Lek
Jang Bin Kuchh Maza Nahin Hota
Tum Hamare Kisi Tarah Na Hue
Varna Duniya Men Kya Nahin Hota
Us Ne Kya Jaane Kya Kiya Le Kar
Dil Kisi Kaam Ka Nahin Hota
Imtihan Kijiye Mira Jab Tak
Shauq Zor-azma Nahin Hota
Ek Dushman Ki Charkh Hai Na Rahe
Tujh Se Ye Ai Dua Nahin Hota
Aah Tul-E-Amal Hai Roz-Fuzun
Garche Ik Mudda.a Nahin Hota
Tum Mire Paas Hote Ho Goya
Jab Koi Dusra Nahin Hota
Hal-E-Dil Yaar Ko Likhun Kyunkar
Haath Dil Se Juda Nahin Hota
Rahm Bar-khasm-E-Jan-E-ghair Na Ho
Sab Ka Dil Ek Sa Nahin Hota
Daman Us Ka Jo Hai Daraz To Ho
Dast-E-ashiq Rasa Nahin Hota
Chara-E-Dil Siva.E Sabr Nahin
So Tumhare Siva Nahin Hota
Kyuun Sune Arz-E-Muztar Ai 'Momin'
Sanam akhir khuda Nahin Hota
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Ab To Ghabra Ke Ye Kahte Hain Ki Mar Jaenge
Ab To Ghabra Ke Ye Kahte Hain Ki Mar Ja.Enge
Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Ja.Enge
Tum Ne Thahra.i Agar Ġhair Ke Ghar Jaane Ki
To Irade Yahan Kuchh Aur Thahar Ja.Enge
Khali Ai Charagaro Honge Bahut Marham-Dan
Par Mire Zakhm Nahin Aise Ki Bhar Ja.Enge
Pahunchenge Rahguzar-E-Yar Talak Kyuun Kar Ham
Pahle Jab Tak Na Do Aalam Se Guzar Ja.Enge
Shola-E-ah Ko Bijli Ki Tarah Chamka.Ūn
Par Mujhe Dar Hai Ki Vo Dekh Ke Dar Ja.Enge
Ham Nahin Vo Jo Karen Khuun Ka Da.Ava Tujh Par
Balki Pūchhega Khuda Bhi To Mukar Ja.Enge
Aag Dozakh Ki Bhi Ho Ja.Egi Paani Paani
Jab Ye Aasi Araq-E-Sharm Se Tar Ja.Enge
Nahin Pa.Ega Nishan Koi Hamara Hargiz
Ham Jahan Se Ravish-E-Tir-E-Nazar Ja.Enge
Samne Chashm-E-Guhar-Bar Ke Kah Do Dariya
Chadh Ke Gar Aa.E To Nazron Se Utar Ja.Enge
Laa.E Jo Mast Hain Turbat Pe Gulabi ankhen
Aur Agar Kuchh Nahin Do Phuul To Dhar Ja.Enge
Ruḳh-E-Raushan Se Naqab Apne Ulat Dekho Tum
Mehr-O-Mah Nazron Se Yaron Ki Utar Ja.Enge
Ham Bhi Dekhenge Koi Ahl-E-Nazar Hai Ki Nahin
Yaan Se Jab Ham Ravish-E-Tir-E-Nazar Ja.Enge
'Zauq' Jo Madrase Ke Bigde Hue Hain Mulla
Un Ko Mai-ḳhane Men Le Aao Sanvar Ja.Enge
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Aap Jin Ke Qarib Hote Hain
Aap Jin Ke Qarib Hote Hain
Vo BaḌe ḳhush-Nasib Hote Hain
Jab Tabi.At Kisi Par Aati Hai
Maut Ke Din Qarib Hote Hain
Mujh Se Milna Phir Aap Ka Milna
Aap Kis Ko Nasib Hote Hain
Zulm Sah Kar Jo Uf Nahin Karte
Un Ke Dil Bhi Ajiib Hote Hain
Ishq Men Aur Kuchh Nahin Milta
SaikḌon Ġham Nasib Hote Hain
'Nuh' Ki Qadr Koi Kya Jaane
Kahin Aise Adiib Hote Hain
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Ashaar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain
Ash.ar Mire Yuun To Zamane Ke Liye Hain
Kuchh Sher Faqat Un Ko Sunane Ke Liye Hain
Ab Ye Bhi Nahin Thiik Ki Har Dard Mita Den
Kuchh Dard Kaleje Se Lagane Ke Liye Hain
Socho To BaḌi Chiiz Hai Tahzib Badan Ki
Varna Ye Faqat Aag Bujhane Ke Liye Hain
ankhon Men Jo Bhar Loge To Kanton Se Chubhenge
Ye ḳhvab To Palkon Pe Sajane Ke Liye Hain
Dekhūn Tire Hathon Ko To Lagta Hai Tire Haath
Mandir Men Faqat Diip Jalane Ke Liye Hain
Ye Ilm Ka Sauda Ye Risale Ye Kitaben
Ik Shaḳhs Ki Yadon Ko Bhulane Ke Liye Hain
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta
Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta
Kahin Zamin Kahin asman Nahin Milta
Tamam Shahr Men Aisa Nahin Khulus Na Ho
Jahan Umiid Ho Is Ki Vahan Nahin Milta
Kahan Charaġh Jala.En Kahan Gulab Rakhen
Chhaten To Milti Hain Lekin Makan Nahin Milta
Ye Kya Azaab Hai Sab Apne Aap Men Gum Hain
Zaban Mili Hai Magar Ham-Zaban Nahin Milta
Charaġh Jalte Hi Bina.i Bujhne Lagti Hai
ḳhud Apne Ghar Men Hi Ghar Ka Nishan Nahin Milta
Khawaja Mussadiq Rafiq
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets