Na aye tujh ko nazar‘ tu magar udaas na ho
Talash kar’ woh yahin teray aa’s paas na ho
Mujhay yakeen nahin‘ uss ko tera paas na ho
Tera gumaan na ho’ ya tera qayaas na ho
Woh aur kya karay akhir’ agar udaas na ho
Beghair ishq na chain aye’ ishq raas na ho
Yeh kis ko log liye ja rahay hain kaandhon par
Kahin yeh shakhs tumhara wafa shanaas na ho
Bicharnay walon ko ik din khuda milata hai
Tujhay hamari kasam’ iss qadar udaas na ho
Yeh bandagi hai’ k har haal main ho shukar us ka
Hazar kuch ho’ magar koi naaspaas na ho
Woh maajra jo hai majnoon k naam se mashoor
Kahin hamaray fasanay ka iktibas na ho
Zia e ilm o hunar se hai aabro e bashar
Yeh roshni to ho’ ujla agar libas na ho
Maza to jab hai k ho baat baat qand o nabaat
Woh baat zeher hai jis baat main mithaas na ho
Hai aik tanz tanz ka nashtar’ dua e umer e daraz
Uss aik shakhs ko’ jeenay ki jis ko aa’s na ho
Naseer khel nahin hai sha’oor e zaat o sifaat
Khuda shanaas kahan woh‘ jo khud shanaas na ho..