Na Puchiye Ke Kya Hussain Hai Lyrics
Poet: Shahzad By: Shahzad, LahoreKya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai Khuda ke deen ka nakhuda, Her ibtida ki ibtida Karam ki intiha Hussain hai Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai Karey joi koi humsari, kisi ki kya majaal hai Jahan mein her lehaz se, Hussain bey misaal hai Yeh hochuka hai faisla na koi doosra khuda na koi doosra Hussain hai Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain ha Naseer e sham per nigah, ki to Hur bana diya jo mer rahey they un ko zindigi ka gur sikha diya thi her taraf jahan sada khula yeh raaz bhi wahan hayat baantta Hussain hai Kero gey ker mukhalifat, gham e Hussain ki yahan woh hashr hoga hashr mein, keh Al Hafeez o Al Amaan Jahan bhi chupney jao gay, Kaheen bhi chup na pao gey, keh her jagha mera Hussain hai Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai Hai jis ki fikr Karbala, Hussain woh doimagh hai yeh panjetan ki anjuman, ka paanchwan chiraagh hai Hasan ka pehla humsafar Ali ka doosra pisar Imam teesra Hussain hai Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai Woh jis ne baandh ker hawa, jala diya bujha diya zameen ko jis ne arsh se, buland martaba diya woh jisne kayenaat ka nizaam hi badal diya ek aisa maojaza Hussain hai Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai Kisi ko hosla diya, kisi ko baaksh di seher diye kisi ko baal o per, kisi ko de diye piser pukaari banda perwari, lughat mein ehl e ishq ki, madad ka tarjumaan Hussain hai Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai Shaheed e karbala ka gham, jisey bhi nagawaar hai Woh bad-amal hai bad-nasab, usi pe beyshumaar hai Arey o dushman e aza, tu mer zara, lehed mein ja, pata chaley ga kya Hussain hai Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai