Add Poetry

NAAT: Milaad-un-Nabi

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-India

Jab Tak Aaye Na They Sehra Ko Koi Puchta Na Tha
Mohammed Ne Qadam Rakh Kar Madina Bana Diya

Amina Ki Goad Mein Aagaye Ahmed-E-Mujtaba
Makkah Ki Sar-Zameen Pe Ek Noor Phaila Diya

Noor-E-Mujassam Ko Dekhne Aagaye Jibrael Bhi
Sabz Alam Milad Ka Kaabe Pe Laga Diya

Chand Suraj Khilona Ban Gaye Aap Ke Liye
Aamina Ne Jab Aapko Jhule Mein Lita Diya

Aamad-E-Mustafa Ka Izhar Karne Lagi Jab Sobiya
Ek Hi Pal Mein Zalim Se Aapne Riha Kara Diya

Taazim-E-Mustafa Mein Jhuk Gayee Mehrab-E-Kaba
Daada Ki Aaghosh Mein Mehmood Ne Jalwa Dikha Diya

Rehmat-E-Aalam Ban Ke Aaye, Wo Sare Aalam Ke Liye
Rab Ke Khazane Se Ummat Ko Quar'n Dila Diya

Kyun Kar Na Haleema Apni Qismat Pe Naaz Kare
Rabb Ne Unke Daman Ko Khushyon Se Jo Bhar Diya

Ta-Umr Milaad Manaye Shakir Ki Yahi Tamanna Hai
Sajde Mein Rabb Ke Aage Jab Sarr Ko Jhuka Diya

Ya Rabb Dil-E-Muslim Ko Ishq-E-Nabi Ataa Kar
Ashq Behne Lagey Dua Mein, Jab Nabi Ka Wasila Laga Diya
 

Rate it:
Views: 804
14 Jul, 2014
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets