Naaya Dour Hai Naaye Dour Say Bhagawat Kaisi
Jab Dunya Hi Arzi Hai To Dunya Say Muhabt Kaisi
Husn Ki Numaish May Bhool Jate Hai Apna Jism Chupana
Khuda Ko Bhool Jate Hai To Ye Dunya Ki Ulfat Kaisi
Zara Btao Kabhi Kisi Mashriqi Larki Ka Tha Libas Aisa
Zamana Ka Riwaj Badal Raha Hai To Is Say Bagawat Kaisi
Maloom Hai Sab Ko K Jab Rab Razi To Sab Raazi
Balawaja Khud Ko Uncha Dikhane Main Ye Himakat Kaisi
Lage Rahte Hai Din Raat Shohrat Panay K Liay
Jab Khuda Hi Raazi Na Hoa To Ye Musrofiat Kaisi