✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Naina Hussain
Search
Add Poetry
Poetries by Naina Hussain
وہ شخص
وہ جھوٹ بولے تو سچ لگے ہے
وہ شخص مجھ کو بھلا لگے ہے
تیری زباں سے میری سمجھ تک
یہ فاصلہ اِک سفر لگے ہے
یہ میری غفلت ہے تیری طاقت
تیری سخاوت سے ڈر لگے ہے
مجھے اندھیروں میں رکھنے والے
مجھے تو ۡتو باخبر لگے ہے
Naina Hussain
Copy
تقدیر
میری تقدیر کے ورقوں پہ میں نے لفظ دیکھے ہیں
کہیں ”رِشتے“ کہیں ”دھوکا“
کہیں ”خودغرض“ دیکھے ہیں
کبھی ”شِکوہ“ کبھی ”اۡمید“ کبھی ”سَودرد“لکھا تھا
میری قسمت میں ہر جذبے سے ۡجڑا اِک”فَرد“ لِکھا تھا
عجب لکھا تھا کہ لکھا ہے جس نےسب ”ادھورا“ ہے
فقط اِک لفظ تھا ”تنہائ“ اور یہ لفظ پورا ہے
انہی لفظوں میں تھا اِک لفظ ”ساتھی“ پر”اکیلا“ تھا
یہ لکھا تھا ”بچھڑنا“ اور ”جدائی“
”غم“ کا میلا تھا
”محبت“ بھی لِکھا تھا !ساتھ ہی اۡس کے ”فریبی“ تھا
کہ ”چاہت“ اور ”تمنّا“ لکھ کہ
لکھا ”بدنصیبی“ تھا
Naina Hussain
Copy
وقت کی تمازتوں میں
وقت کی تمازتوں میں
سب بِچھڑ کے مِل گئے
میرے بھی داغ ۡدھل گئے
تیرے بھی زخم سِل گئے
ایسے بھی ہم نے باغ میں
دیکھے ہیں بےثمر درخت
جوگھونسلے اۡجڑ گئے
تو شجر سارے جل گئے
وہ میری زندگی کے باب
جن میں تیرا ذکر تھا
جو آنسوؤں نے لکھ دیا تھا
آنسوؤں سے مٹ گئے
تو بھی تو اب ویسا نہیں
میں بھی وہ ہی نہیں رہا
تیرا بھی دِل بدَل گیا
میرے بھی دِن بدَل گئے
Naina Hussain
Copy
Chehra....
Aaj Veeraney Hain Ankhon Mein
Ek Dard Utha Hai Chehrey Per
Jaisey Barson Ne Karwat Li
Silwat Si Bichaa Di Chehrey Per
Ab Bhuli Basri Yadon Se
Rishta Sa Jurney Wala Hai
Kisi Gehrey Soz Ki Saazish Hai
Parda Sa Gira Hai Chehrey Per
Bheegi Nazron Ke Gharon Mein
Beetey Maazi Ke Pehrey Hai
Kuch Pal Baithon Iss Chaya Mein
Jala Sa Para Hai Chehrey Per
Ahbab Ki Mehfil Me Sarey
Afraad Pareshan Lagtey Hai
Hairaan Se Mjhko Taktey Hain
Kya Mere Likha HaiChehrey Per?
Aise Toh Mjhy Dekha Na Karo
Hasrat Mein Meri Uljha Na Karo
Yun Jalney Se Toh Acha Hai
Ek Daagh Laga Do Chehrey Per!
Naina Hussain
Copy
Ikhtitaam
Muddat Se Meri Umer Bari Taiz Chali Hai
Aisa Toh Nhe Sham E Zeest Agli Gali Hai
Manoos Si Khushbu Jo Tumhen Paas Se Aye
Ye Shakh Sy Tooti Teri Aangan Ki Kali Hai
Janey Kw Chorh Kr Mere Khawabon Ki Mehfilen
Ye Neend Meri Aankh Se Kis Aankh Chali Hai
Lagta Toh Nhe Ye Kisi Insaan Ka Ziker Hai
Ansuu Ki Boond Ya Koi Misri Ki Dali Hai
Umeed Toh Nhe Ke Wo Taa Umer Sath De
Naina Bhi Kya Kabhi Tere Kehny Pe Chali Hai
Naina Hussain
Copy
Be rabt!
Hain Roshni Ke Na Zulmaton Ke
Udaas Mosam Hain Qismaton Ke
Bhula Na Payen Mita Na Payen
Hain Raaz Kuch Guzri Saatoon Ke
Wo Pehny Resham Ya Pehney Malmal
Zakham Jhalaktey Hain Karwaton Ke
Jo Pehreydaron Ki Qaid Mein Hain
Gawah Hain Wo Sari Wehshaton Ke
Barey Hi Pyarey Thay Apney Bachpan
Zamaney Wo Shireen Lazzaton Ke
Naina Hussain
Copy
Mere Haathon Ko Zara Bhi Agar
Mere Haathon Ko Zara Bhi Agar Jumbish Hogi
Wo Tera Naam Hi Likh Dene Ki Saazish Hogi
Rasm E Ulfat Ke Tehat Ap Per Ilzaam Nhe
Jo Khata Hai Mere Imaan Ki Laghzish Hogi
Be Sabab Dair Hoi Apko Ajaney Mein
Yun Laga Humko Bhula Dene Ki Koshish Hogi
Jab Bhi Chahen Gey Ap Hum Se Juda Hojain
Aap Ki Aankhon Se Benaam Si Baarish Hogi
Naina Hussain
Copy
Raastey
Hain Taveel Pathreeley Tjh Tk Aatey Sab Rastey
Choor Hogaye Saarey Jo Chaley Thay Deewaney
Iss Qadar Parastish Ki Aik Jalti Shamma Ki
Bad Naseeb Thay Sarey Jalney Waley Parwaney
Raat Bhar Tammanna Ki Rab Se Teri Fursat Ki
Ye Meri Jabeen Ke Bal Tere Likhey Afsaney
Apka Guzar Tha Kal Palki Mein Gulshan Se
Gul Ne Saarey Pi Daaley Jo Bharey Thay Paimaney
Aaj Chandni Mein Hun Kal Ki Kya Khaber Naina
Mujhsi Khak Ki Moorat Iss Bhanwar Ko Kya Jaaney
Naina Hussain
Copy
Raaz
Taqdeer Ke Haathon Mein Khilona Si Rahi Hun
Manzil Mere Aagey Hai Mein Be Raah Khari Hun
Or Iss Se Ziada Bakht Ki Sakhti Nhe Dekhi
Ke Bheegtey Mosam Mein Sada Dhup Jali Hun
Baatin Ka Mere Raaz Kabhi Khul Na Sakey Ga
Kitni Uunchaiyun Se Kahan Aa Ke Giri Hun
Jo Dekhtey Ho Wo Mahiz Parchai Hai Meri
Mein Door Apney Jism Se Bezaar Khari Hun
Jab Se Mjhey Maloom Hai Khaliq Ki Haqiqat
Tab Se Jahan Lapait Ke Tayyar Khari Hun
Naina hussain
Copy
Dard Mein Hun Araam Nhe Hai
Dard Mein Hun Araam Nhe Hai
Or Mera Kch Kaam Nhe Hai
Meri Ruswai Ke Charchey
Sach Hai Sab Ilzaam Nhe Hai
Achi Toh Anmol Hai Qismat
Baicho Toh Koi Daam Nhe Hai
Suraj Ko Girhan Sa Laga Hai
Subh E Falak Pe Shaam Nhe Hai
Aankhon Se Khushyon Ka Tapakna
Iss Pal Ka Koi Naam Nhe Hai
Or Koi Bhi Fikr O Fukar Mein
Shayyer Sa Bad Naam Nhe Hai
Naina Hussain
Copy
Kitna Pyaar Karte Hain
Fursaton Ki Shamon Se
Qurbaton Ki Raaton Tak
Dosti Ki Khawahish Se
Chahaton Ki Baton Tak
Hijr Ki Sazaoon Se
Wasal Ki Panahon Tak
Barishon Ki Bondon Se
Dasht Ki Hawaon Tak
Sukhay Zard Patton Se
Oos Ki Phuaron Tak
Aur Khizaan Ki Aamad Se
Nachti Baharon Tak
Teri Shokh Masti Se
Meri Sab Adaoon Tak
Tere Saarey Waadon Se
Meri Sab Wafaoon Tak
Gharz Ke Judai Ki Be-Meher Shaam Dhalney Tak
Tum Se Faasley Saarey Qurb Mein Badalney Tak
Kya Kahen Tumhen Jaanaa!
Kaisey Yaad Kartey Hain...
Kitna Pyaar Karte Hain!
Naina Hussain
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets