Naqsh Faryaadi

Poet: DEEWAN-E-GHALIB By: WASHMA KHAN, MOSCOW

Naqsh Faryaadi Hai Kis Ki Shokhi E Tehreer Ka
Kaaghzi Hai Pairahan Har Paikar E Tasveer Ka
Kaav Kaav E Sakht Jaani Haaye Tanhaayi Na Pooch
Subha Karna Shaam Ka, Laana Hai Joo E Sheer Ka
Jazba E Be-Ikhtiyaar E Shouq Dekha Chahiye
Seena E Shamsheer Se Baahar Hai Dam Shamsheer Ka
Aagahi, Daam E Shuneedan Jis Qadar Chahay Bichhaye
Muddua Anqa Hai Apnay Aalam E Taqreer Ka
Bas Ke Hoon Ghalib! Aseeri Mein Bhi Aatish Zer E Pa
Moo E Aatish Deeda Hai Halqa Meri Zanjeer Ka
 

Rate it:
Views: 1906
04 Jan, 2012