Naya Ek Rishta Paida Kyun Karen Hum
Poet: JAUN ELIYA By: Khawaja Mussadiq Rafiq, KarachiNaya Ik Rishta Paida Kyuun Karen Ham 
 BichhaḌna Hai To Jhagda Kyuun Karen Ham 
 
 ḳhamoshi Se Ada Ho Rasm-E-Dūri 
 Koi Hangama Barpa Kyuun Karen Ham 
 
 Ye Kaafi Hai Ki Ham Dushman Nahin Hain 
 Vafa-Dari Ka Da.Ava Kyuun Karen Ham 
 
 Vafa Iḳhlas Qurbani Mohabbat 
 Ab In Lafzon Ka Pichha Kyuun Karen Ham 
 
 Hamari Hi Tamanna Kyuun Karo Tum 
 Tumhari Hi Tamanna Kyuun Karen Ham 
 
 Kiya Tha Ahd Jab Lamhon Men Ham Ne 
 To Saari Umr Iifa Kyuun Karen Ham 
 
 Nahin Duniya Ko Jab Parva Hamari 
 To Phir Duniya Ki Parva Kyuun Karen Ham 
 
 Ye Basti Hai Musalmanon Ki Basti 
 Yahan Kar-E-Masiha Kyuun Karen Ham 
More Jaun Elia Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 