Add Poetry

Naye Kapre Badal Kar Jaon Kahan, Aur Baal Banaon Kis K Liye

Poet: Nasir Kazmi By: faraz, khi

Naye Kapre Badal Kar Jaon Kahan, Aur Baal Banaon Kis K Liye
Woh Shakhs To Shehar Hi Chor Giya Mein Bahir Jaon Kis Kay Liye

Jis Dhoop Ki Dil Mein Thandak Thi Woh Dhoop Ussi Kay Sath Gai
In Jaldi Balti Galion Mein Ab Khaak Uraon Kis Kay Liye

Wo Shehr Mein Tha To Uss Kay Liye Auron Sey Bhi Milna Parta Tha
Ab Aisey Waisay Logon Kay Mein Naaz Uthaon Kis Kay Liye

Ab Shehr Mein Uss Ka Badal Hi Nahin Koi, Waisa Jan-E-Ghazal Hi Nahin
Ewan-E-Ghazal Mein, Lafzon K Guldan Sajaon Kis Kay Liye

Muddat Sey Koi Aaya Na Giya Sunsaan Pari Hai Ghar Ki Fiza
In Khali Kamron Mein NASIR Ab Shamma Jalaon Kis Kay Liye

Rate it:
Views: 2486
30 Aug, 2019
More Nasir Kazmi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets