Add Poetry

NAYE SOCH

Poet: Zohaib Ahmed By: Zohaib Ahmed, Karachi

The Reflection Of Corruption ....!
_ _ _
Aao Dekhe Kuch Shoba'jaat Ko,
Bik'te Hoe Mulk Ke Jazbaat Ko,
Bigar'te Hoe Halaat Ko,
Tuk'ron Main Bat'ti Hoi Awaam Ko,
Qoumiat Ke Naam Per Takseem Insaan Ko,
_ _ _
Ek Baap Ke Gir'te Kan'dho Ko,
Ek Maa Ki Tarap'ti Ankhoon Ko,
Dekh Ker Bachon Ki Bhook Ko,
Ek No_Jawaan Ki Lash Ko,
Ek Be_Sahara Biwi Ko,
Ujar'te Hoe Ghar_Baar Ko,
Zang_Alood Socho Ko,
Kuch Haar'te Hoe Insaano Ko,
_ _ _
Corruption Ki Bhar_Maar Hai,
Jamhoriyat Ki Gir'ti Dewaar Hai,
Hukmarano Ka Bharam Hai,
Rishwat Ka Bazaar Garam Hai,
_ _ _
Kha Rahe Hain Awaam Ka Paisa,
Baithe Hoe Awaa'noo Main,
Pee Rahe Hain Ye Khoon Zainda Insaano Ka,
_ _ _
Soch'ta Hoon...........................!
Agay Likh'na Hai Ab Bekaar,
Ku Ke Haath Main Rehe Gayi Hai Sirf (T A L W A A R)
 

Rate it:
Views: 672
25 Jan, 2012
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets