Mohabat Ki Ufaq Pe Jab Kabhi Laali Nazar Aayi
Use Majnu Nazar Aaya Mujhe Layla Nazar Aayi
Kyun Ro Ro Ke Ab Aankhen Apni Laal Karta He
Unhe To Har Kahani Teri Bus Gunghi Nazar Aayi
Manzil Dundhne Nikla Jab Bhi Me Kitabo Mein
Har Panne Pe Bus Yaar Ki Surat Nazar Aayi
Faqat Ek Taat Ke Tukre Mein Poshida Ghareebi Thi
Amiri Shaamyano Mein Bhi Nangi Nazar Aayi
Khuda Ka Jab Azaab Aaya Ye Haal Tha Zalim
Ke Jis Diwaar Ko Thama Wahi Girti Nazar Aayi
Halanke Usme Sach To Zara Sa Bhi Nahin Tha
Fir Tujhko Isme Kyun Badar Sadaqat Nazar Aayi