Pahle Pahal Ladenge Tamaskhur Uraenge
jab ishq dekh lenge to sar par bithaenge
tu to phir apni jaan hai tera to zikr kya
hum tere doston ke bhi nakhre uthaenge
'ghaalib' ne ishq ko jo dimaghi khalal kaha
chhoren ye ramz ap nahi jaan paenge
parkhenge ek ek ko le kar tumhara nam
dushman hai kaun dost hai pahchan jaenge
qibla kabhi to taza-sukhan bhi karen ata
ye chaar-panch ghazlen hi kab tak sunaenge
aage to aane dijiye rasta to chhoriye
hum kaun hain ye samne aa kar bataenge
ye ehtimam aur kisi ke liye nahi
tane tumhaare nam ke hum par hi aaenge