Add Poetry

Patthar barsane wala koi reh to nahin gaya

Poet: Touqeer Ijaz Deepuk By: Touqeer Ijaz Deepuk, Jhang- Punjab- Pakistan

Patthar Barsane Wala Koi Reh To Nahin Gaya
Mujhe Mitane Wala Koi Reh To Nahin Gaya

Ghayal Badan Mein Ab Bhi Mere Lohu Thoda Baqi Hai
Poochh Bahane Wala Koi Reh To Nahin Gaya

Sar Se Lekar Paaon Tak Dard Ka Ab Ehsaas Nahin
Chot Lagane Wala Koi Reh To Nahin Gaya

Madhm Se Kuchh Manzar Jo Aankhein Ab Bhi Dekhti Hain
Teer Chalane Wala Koi Reh To Nahin Gaya

Ghar Ke Ek Dariche Ka Jalna Kuchh Kuchh Rehta Hai
Aag Lagane Wala Koi Reh To Nahin Gaya

Dekho Saalim Ab Tak Hai Kamre Wali Ek Deewar
Ise Girane Wala Koi Reh To Nahin Gaya

Door Kahin Se Ek Sada Ab Bhi Sunai Deti Hai
Chhod Ke Jane Wala Koi Reh To Nahin Gaya

Mujhko Ab Tak Nahin Chadhaya Na Jane Kyun Sooli Par
Phanda Pehnane Wala Koi Reh To Nahin Gaya

Deepuk Barpa Hua Nahin Qahr Tumhari Basti Par
Sitam Machane Wala Koi Reh To Nahin Gaya
 

Rate it:
Views: 0
01 Apr, 2025
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets