Payara Dost
Poet: Usman Arif By: Usman Arif, LahoreBachpan K Wo Din Thay Parhai Ka Wo Dour Tha
 School Mein Wo Milla Aise Jaisay Chand Ko Mila Chakor Tha
 Din Guzray Aur Guzartay He Gay
 Sath Ik Dosre Ka Aise Jaise 2 Jismo Mein Jor Tha
 Bachpana tha Lekin Yaari Paki Thi
 Jis Din Wo Na Ata Aise Lagta Jaise Chaand Se Zameen Jitna Dur Tha
 Waqat Guzra Din Badle Badla Sab Kuch
 Jaane Walay Chor Gaye Jo Sath Khara Raha Wo Mera Dost Tha
 Khoon Se Nahi Per Bhai Se Bhar Ker Hai
 Jab Bhi Khud Ko Tanha Paya Wo Aa Jata Dorta
 Dua Hai Khushiyon Ka Sumandar Millay Usko
 Logo Ko Pata Toh Chalay Ye Bhi Ik Yaarane Ka Door Tha
 Hun Nahi Qabil Uski Dosti k
 Ye Meharbani Hai Uski Jo Wo Is Na Cheez Ko Phir Bhi Nahi Chorta
 Dost Sab Thay Lekin Srif Naam K
 Usko Jab Milla Laga Jaise Ye Wo Moor Tha
 Munh Pe Sab Dost Thay Jab Paise Pas Thay
 Jab Kuch Bhi Nahi Tha Tab Bhi Wo Sath Tha
 Mushkil Mein Sath Chor Gaye Apne Sab Thay Jitne
 Dekha Jo Pichy Mur K Kandhe Pe Uska Hath Unglion Mein Zoor Tha
 Zindagi Mein Wo Noor Aur Tanhai Mein Wo Raqib Hai
 Loo Dunia Se Aj Keh Do Mera Bhai Wo NASEER Hai






