Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Ge
Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Ge
Ab To Chehron Ke Khad-O-Khal Bhi Pehle Se Nahin
Kis Ko Maloom Tha Tum Itne Badal Jao Ge
Apne Parcham Ka Kahin Rang Bhula Mat Dena
Surkh Sholon Se Jo Khelo Ge To Jal Jao Ge
De Rahe Hain Tumhain To Log Rafaqat Ka Fareb
In Ki Tareekh Parho Ge To Dehal Jao Ge
Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho
Sang-E-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Ge
Khwabgahon Se Nikalte Hue Dartay Kyon Ho
Dhoop Itni To Nahin Hai Ke Pighal Jao Ge
Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Ge
Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Ge
Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat Ke Chiraagh
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho Ke Dhal Jao Ge
Subh Sadik Mujhe Matloob Hai Kis Se Mangon
Tum To Bholay Ho, Chraghon Se Behal Jao Ge