Add Poetry

Phir Gayi Aap Ki Do Din Mein Tabeeyat Kaisi

Poet: Akbar Allahabadi By: Haroon, Karachi

Phir Gayi Aap Ki Do Din Mein Tabeeyat Kaisi
Ye Wafa Kaisi Thi Saahab Ye Murawwat Kaisi

Dost Ahbaab Se Hans Bol Ke Kat Jaayegi Raat
Rind-E Aazaad Hain Hum Ko Shab-E Furqat Kaisi

Jis Haseen Se Hui Ulfat Wahi Mashooq Apna
Ishq Kis Cheez Ko Kehte Hain Tabeeyat Kaisi

Hai Jo Qismat Mein Wahi Hoga Na Kuchh Kam Na Siwa
Aarzoo Kehte Hain Kis Cheez Ko Hasrat Kaisi

Haal Khulta Nahin Kuchh Dil Ke Dhadakne Ka Mujhe
Aaj Reh Reh Ke Bhar Aati Hai Tabeeyat Kaisi

Koocha-E Yaar Mein Jata Toh Nazaara Karta
Qais Aawaara Hai Jungle Mein Ye Wehshat Kaisi
 

Rate it:
Views: 1324
23 Jul, 2015
Related Tags on Akbar Allahabadi Poetry
Load More Tags
More Akbar Allahabadi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets