Preshan Ho Ke Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye
Na Kar Dain Mujh Ko Majboor-e-Nawa Firdous Mein Hoorain
Mera Souz-e-Daroon Phir Garmi-e-Mehfil Na Ban Jaye
Kabhi Chhori Huwi Manzil Bhi Yaad Ati Hai Raahi Ko
Khatak Si Hai, Jo Sinay Mein, Gham-e-Manzil Na Ban Jaye
Banaya Ishq Ne Darya’ay Na-Payda Karan Mujh Ko
Ye Meri Khud Nigahdari Mera Sahil Na Ban Jaye
Kahin Iss Alam-e-Be-Rang-o-Bu Mein Bhi Talab Meri
Wohi Afsana-e-Dunbala-e-Mehmil Na Ban Jaye
Urooj-e-Adam-e-Khaki Se Anjum Sehme Jate Hain
Ke Ye Toota Hua Tara Mah-e-Kamil Na Ban Jaye