Qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha
par tire ahd se aage to ye dastur na tha
raat majlis men tire husn ke shoale ke huzur
shama ke munh pe jo dekha to kahin nuur na tha
zikr mera hi vo karta tha sarihan lekin
main ne puchha to kaha khair ye mazkur na tha
bavajude ki par-o-bal na the aadam ke
vahan pahuncha ki farishte ka bhi maqdur na tha
parvarish gham ki tire yaan taiin to ki dekha
koi bhi daagh tha siine men ki nasur na tha
mohtasib aaj to mai-khane men tere hathon
dil na tha koi ki shishe ki tarah chuur na tha
‘dard’ ke milne se ai yaar bura kyuun maana
us ko kuchh aur siva diid ke manzur na tha