Rast Guftari Hi Sar Chashma-E-Khush Khulq Hai Logo
Ye Wo Hunar Hai Jis Se Sang Dil Bhi Mo'm Ho Jaye
Is Saroo Ko Khunk Chhaon Mein Ik Bar Jo Koi A Jaye
To Garm Loo Ka Bhapka Bhi Baad-E-Sukoon Ho Jaye
Is K Gulon Ki Tazgi Deed-O-Adeed Ko Barhaye
Jiso K Pas Ye Gun Ho, Uso Ki Dhoom Ho Jaye
Nazand-O-Zar Par Jab Ye Charkh-E-Taskeen Chha Jaye
Khulen Naafe Shameem K, Mehv-E-Rahat Mazmoom Ho Jaye
Ye Dafeen-E-Tasawwuf Ik Bar Jo Zakir Apnaye
To Guftugoo Mein Aas Ho, Or Yas Mehroom Ho Jaye
Ye Jan Faza Halawat Ik Bar Jo Tund Khoo Paye
Laiq-Ut-Tifaat Qual Ho Bad Goi Mehroom Ho Jaye