Rishta
Poet: Adnan Anees Khan By: Adnan Anees Khan, karachiWoh Jis Se Raha Aaj Tak Alfaaz Ka Rishta
 Bhaijay Mere Sochon Ko Alfaz Ka Rishta
 
 Net Se Mera Shouq Bhi Barha Hai
 Hay Is Main Chhupa Hoa Aetemad Ka Rishta
 
 Shaista Or Tehzeeb Donon Ki Milawat Se
 Banta Hai Adnan 0r Naz Ka Rishta
 
 Ehle Dunia Se Chhupy Hain Na Chupaingay
 Mat Samjho Tum Isay Raaz Ka Rishta
 
 Na Milnay Se Guraiz Hai Na Milnay Se Khafa
 Koi Kia Janay Ye He Kis Andaz Ka Rishta
 
 Bay Noor Bay Sura Hai Ye Net Ka Silsila
 Ajaey Noor O Sur To Ban Jaiega Rishta
 
 Sochon Main Tasweer Khayalon Mian Ter Aks
 Tasawwur Ki Haqeeqat Se Na Mit Jaey Ye Rishta
 
 Rishtae Purkhuloos Aakhir Hai Kia Adnan
 Aray Dosti Se Barh K Hai Koi Rishta
More Friendship Poetry







