✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Rizwan Ahmed
Search
Add Poetry
Poetries by Rizwan Ahmed
Rishtoon Ki Dhoop Chaaon
Rishtoon Ki Dhoop Chaaon Se Aazad Ho Gaye
Ab To Hume Bhi Saare Sabaq Yaad Ho Gaye
Aabadiyun Mein Hote Hai Barbaad Kitne Log
Hum Dekhne Gaye The To Barbaad Ho Gaye
Main Parbatoon Se Larta Raha Aour Chand Log
Geeli Zameen Khod Kar Farhad Ho Gaye
Baithe Huye Hain Qimti Sofoon Pe Bheriye
Jungal K Log Shahar Mein Aabad Ho Gaye
Lafzoon K Her Pher Ka Dhandha Bhi Khoob Hai
Jahil Humare Shahar Mein Ustaad Hogaye
Rizwan Ahmed
Copy
Purani Yadain
Wo Kesa Shaks Hai Keh Roz Saza Deta Hai
Phir Hansata Hai Wo Itna Keh Bhula Deta Hai
Kabhi Jo Ro Day To Mujh Ko Bhi Bhool Jata Hai
Aor Phir Bhool K Mujh Ko Bhi Rula Deta Hai
Us Se Puchhoon Keh Bata Kis Se Mohabbat Hai Tumhain
Naam Sargoshi Mein Mera He Suna Deta Hai
Khud He Kehta Hai Na Dohrao Purani Yadain
Main Na Dohraon To Phir Khud He Suna Deta Hai
Khud He Likhta Hai Jazbaat Main Hal Chal Na Karo
Aor Phir Khud He Nayie Aag Laga Deta Hai
Rizwan Ahmed
Copy
Agar Tu Chahe
Hum To Saaya Tera Ban Jayen Agar Tu Chahe
Ya Kabhi Bhi Na Nazar Aaye Agar Tu Chahe
Tu Jo Chahe To Sar-E-Aam Karein Ehd-E-Wafa
Yunhi Duniya Se Guzar Jaye Agar Tu Chahe
Tujh Se Milne Mein Toh Jaanan Teri Ruswaayi Hai
Hum Teri Yaad Se Mil Aaye Agar Tu Chahe
Tu Jo Keh De Toh Pukaare Sar-E-Bazaar Tujhe
Ajnabi Ban Ke Guzar Jaaye Agar Tu Chahe
Zindagi Jilein Agar Teri Ijaazat Mil Jaaye
Teri Chokhat Pe Hi Mar Jaye Agar Tu Chahe
Tu Jo Chahe Toh Zamaane Ke Sitam Yunhi Sahen
Saari Duniya Se Bhi Takrayein Agar Tu Chahe
Rizwan Ahmed
Copy
Maray Tum Khwab Jaisy Ho
Maray Tum Khwab Jaisy Ho
Haseen Mahtab Jaisy Ho
Tumhe Hum Gungunaty Hain
Mashur Tum Raag Jaisy Ho
Byan Jin Ko Na Kar Payin
Tum Un Jazbat Jaisy Ho
Jineh Hum Jheel Jaty Hain
Tum Un Hallat Jaisy Ho
Hum Jis K Sath Rathy Hain
Trapti Tum Raat Jaisy Ho
Bicharna Tum Say Mushkil Ha
Meri Tum Zaat Jaisy Ho
Rizwan Ahmed
Copy
Apna Yeh Hi Muqadar Hoga
Jab Bhi Tanha Baitha Hoga
Usne Mujhko Socha Hoga
Meri Aankhon Mein Aansoo Hoga
Uska Daaman Bheega Hoga
Koi Mujhko Chuu Kar Guzra
Khusboo Ka Ek Jhonka Hoga
Raiza Raiza Hoon Main Kab Se
Woh Bhi Pal Pal Bikhra Hoga
Barkha Rut Ki Baarish Barsi
Koi Khul Kar Roya Hoga
Aankhein Rakh Kar Darwaaze Mein
Shayad Rasta Takta Hoga
Uski Yaad Ko Bhi Na Chhu Saku
Bas Apna Yeh Hi Muqadar Hoga
Rizwan Ahmed
Copy
Bana Ajnabee Mera Humsafar
Bana Ajnabee Mera Humsafar
Or Nazar Bacha K Guzar Gaya
Main Thi Raasto Se Bekhabar
Or Usey Manzilon Ka Shaoor Tha
Na Theen Or Koi Bhi Ranjishen
Sirf Adaton Main Tazaad Tha
K Usey Pasand Thi Saadgi
Mujhey Shokhiyun Pe Naaz Tha
Rizwan Ahmed
Copy
Yeh Kahani Phir Sahe
Hum Ko Kis K Gham Nay Maara Yeh Kahani Phir Sahe
Kis Nay Toorha Dil Hamaara Yeh Kahani Phir Sahe
Dil K Lutane Ka Sabab Pocho Na Sab K Saamnay
Naam Aaye Ga Tumhaara Yeh Kahaani Phir Sahee
Nafarato K Teer Kha Kar Dooston K Shahar Main
Hum Ny Kis Kis Ko Pukaara Yeh Kahaani Phir Sahe
Kya Bataayen Pyaar Ki Baazi Wafaa Kii Raah Main
Kaun Jeetaa Kaun Haara Yeh Kahaani Phir Sahee
Chalo Mohsin Mohabbat Ki Nae Bunyaad Rakhte Hain
Khud Paaband Rehty Hain Usay Aazad Rakhte Hain
Humarey Khoon May Rab Ne Yehi Taseer Rakhi Hai
Buraai Bhool Jatay Hain Achai Yaad Rakhte Hain
Mohabbt May Kahin Humse Gustakhi Na Ho Jaye
Hum Apna Har Qadam Us Ke Qadam Ke Baad Rakhte Hain
Rizwan Ahmed
Copy
Haal E Dil
Bas Ek Jhijhak He Yahi-Haal E Dil Sunane Mein
K Tera Zikarr Bhi Ayega Iss Fasane Mein
Baras Pari Thee Jo Rukh Se Nakaab Uthanne Mein
Wo Chandani Hai Abhi Tak Mere Garib Khane Mein
Isi Mein Ishk Ki Kismat Badal Bhi Sakti Hai
Jo Waqt Bit Gaya Mujh Ko Aazmane Mein
Ye Kah Ke Tut Para Shakal-E-Gul Akhri Phuul
Ab Aur Der Hai Kitni Bahar Ane Mein
Rizwan Ahmed
Copy
Tujhy Kaash Mohabbat Ho Jay
Kuch Khowab Thy Meri Ankhon Main
Tujhy Pa Lene Ki Chahat Thi
Chand Lafzoon Main Hi Kehta Hoon
Mujhy Tum Se Buhat Mohabbat Thi
Par Tu Kya Janay Chahat K
Tujhy Ho Jati To Poochta Main
Dil Jab Jab Toot K Rota Hai
Kya Dard Tumhain Bhi Hota Hai
Ye Khowaab Haqeeqat Ho Jay
Kisi Apne Jesy Sangdil Se
Tujhy Kaash Mohabbat Ho Jay
Rizwan Ahmed
Copy
Faasale Aise Bhii Honge
Faasale Aise Bhii Honge Ye Kabhii Sochaa Na Thaa
Saamane Baithaa Thaa Mere Aur Vo Meraa Na Thaa
Vo Kisi Khushbuu Kii Tarah Phailaa Thaa Mere Chaar Suu
Main Use Mahasuus Kar Sakataa Thaa Chhuu Sakataa Na Thaa
Raat Bhar Us Kii Hii Aahat Kaan Me.N Aatii Rahii
Jhaank Kar Dekhaa Galii Mein Koi Bhii Aayaa Na Thaa
Aks To Maujuud The Par Aks Tanahaaii Ke The
Aainaa To Thaa Magar Us Mein Teraa Cheharaa Na Thaa
Aaj Us Ne Dard Bhii Apane Alahadaa Kar Diye
Aaj Main Royaa To Mere Saath Vo Royaa Na Thaa
Ye Sabhii Viiraaniyaan Us Ke Judaa Hone Se Thii.N
Aankh Dhundhalaai Huii Thii Shahar Dhundhalaayaa Na Thaa
Yaad Karake Aur Bhii Takaliif Hotii Thii "Adeem"
Bhuul Jaane Ke Sivaa Ab Koi Bhii Chaaraa Na Thaa
Rizwan Ahmed
Copy
Yeh Mohabbat Hai
Azal Say Mohabat Mawara Alfazon Ki Mala Hy
Magar Yeh Haqeqat Hy
Mohbt Soch K Akash Pr Badal Ki Surat Main
Sada Parwaz Karti Hy
Kabhi Barish Ki Bundon Main Simat Kr Dil Ki Dharti Pr
Utarti Hy’ Bikharti Hy
Ada Lay Kar Saba Ki Yeh, Ghulabon Say Mehak Lay Kr
Dhanak Rang Ly Kar Or Sitaron Say Chamak Ly Kr
Haseen Anchal Banati Hy
Usi Anchal Say Phir Khuwabon K Kachay Ghar Banati Hy
Mohabat Azmati Hy
Kabhi Shair Ban Kar Lafz Ki Hurmat Barhati Hy
Kabhi Saaz Ban Kr Dhiray Dhiray Gungunati Hy
Sara-Pa Ankh Ban Jati Hy Yeh Mehbob Ko Pa Kar
Anokha Lams Ban Jati Hy Yeh Koe-E-Yaar Ja Kr
Na Jane Kon Sa Mantar Yeh Parh K Hole Hole Say
Kisi Ki Band Palkon Main Bina Dastak Diye Yak-Dam
Utar K Ghar Banati Hy
Mohabat Muskurati Hy
Yeh Khusboo Hy Humesha Phool Ki Sanson Main Hoti Hy
Bana Day Chand, Yeh Tera Shab Ko Jo Yeh Aisa Moti Hy
Kasaak Hy Daaimi Is Main, Buhat Bay Naam Lazaat Hy
Mohabat Ki Yehi Tareef Hy K
Yeh Mohabbat Hai
Rizwan Ahmed
Copy
Ashkon Ka Samandar
Aaj Palkon Ki Munderon Pe Ronaq Hai Boht
Dekh Sakte Ho To Ashkon Ka Samandar Dekho
Rizwan Ahmed
Copy
Tum Acha Nahi Kartey
Akeley Jo Dukh Uthatey Ho
Yeh Tum Acha Nahi Kartey
Hamara Dil Jalatey Ho
Yeh Tum Acha Nahi Kartey
Kaha Bhi Tha Mhbt Hai ,Mhbt Hi Isey Rakho
Tamasha Jo Banatey Ho
Yeh Tum Acha Nahi Kartey
Uthatey Ho Falak Tak Tum Hamen Sar E Mehfil Mgr
Utha K Jo Giratey Ho
Yeh Tum Acha Nahi Kartey
Koi Jo Pooch Ley Tum Se K Rishta Kia Hai Ab Un Sey
Jo Mujhey Ajnabee Batatey Ho
Yeh Tum Acha Nahi Karte
Rizwan Ahmed
Copy
Meray Saath Tum Bhi Duaa Karo
Meray Saath Tum Bhi Duaa Karo
Youn Kisi K Haq Main Buraa Na Ho
Kahii Aur Ho Na Yeh Haadasaa
Koi Raaste Main Judaa Na Ho
Mujhe Youn Laga K Khamosh Khushbu
K Hont Titali Nay Cho Liye
Inhii Zard Patton Ki Orh Main
Koi Phool Soya Huwa Na Ho
Meray Ghar Say Raat Kii Sej Tak
Vo Ik Aanso Kii Lakeer Hai
Zaraa Bad K Chaand Say Pochnaa
Vo Isii Taraf Se Gaye Na Ho
Rizwan Ahmed
Copy
Naseeb
Jo Mila Mujhy Wo Mera Naseeb, Jo Mila Nahi Wo Mera Na Tha
Tera Dil Ye Samajh Gaya Tou Koi Kami Na Rulaye Gi
Rizwan Ahmed
Copy
Yad Aaonga
Jab Bichar Kar Tary Is Dil Sey Chala Jaonga
Dil Ko Seney Main Na Paogi To Yad Aaonga
Aonga Chupky Sy Khawabo Mai Jo Tary Aksar
Phir Jo Sotey Mai Hi Hans Dogi To Yad Aonga
Meri Masom Mohobat Ko Bhula Kar Jab Tum
Phir Kisi Aur Ko Chahogi Too Yaad Aongaa
Dosto Ki Kisi Mahfil Mein Bato Bato Mein
Jab Kisi Batt Pa Rothogi To Yaad Aongaa
Meri Tasver Ko Ankho Mein Chupaney K Liya
Apney Ashko Sey Meetaogi To Yaad Aonga
Rat Sanatey Mai Kamrey Ki Khuli Khirki Sey
Hansty Ek Chand Ko Dekhogi To Yad Aonga
Jb Bhi Barsat K Bhegy Huy Mosam Mai Khari
Tanha Barish Mein Jo Bhegogi To Yaad Aonga
Khak Sey Lipti Kitaboo K Har Ek Kaghaz Par
Naam Likha Mera Dekhogi To Yaad Aongaa
Ab Jo Har Ek Khushi Mujhko Suna Ney K Lia
Door Tak Mujh Ko Na Paogi To Yaad Aonga
Nely Kaprey Jo Pahan Kar Tum Khuly Balo Ko
Khud Hi Hatho Sey Sanwarogi To Yaad Aonga
Yad Karty Hui Yah Sans Joo Tooteygi Meri
Phir Meri Kabar Pa Aogi To Yaad Aongaa
Tarey Hi Nam Sy Likhta Tha SAHIR Sari Ghazal
Ab Jo Parhtey Huey Rodogi To Yaad Aongaa
Rizwan Ahmed
Copy
Mohabbat Kyun Hoti Hay
Dil Mujh Say Puchta Hay Mohabbat Kyun Hoti Hay
Chand Jesay Chahroon Ko Bey Wafae Ki Aadat Kyun Hoti Hay
Jesay Yaad Karnay Say Dil Kay Tukray Hazaar Hotay Hain
Pher Osi Kay Naam Say Dil Ko Rahat Kyun Hoti Hay
Barsoon Ki Ulfat Jab Chand Lamhoon Main Toot Jati Hay
Ghar Bhar Main Pher Kesi Say Chahat Kyun Hoti Hay
Eshq Karnay Walay To Aag Main Bhi Kood Jatay Hain
Piyaar Karnay Waloon Main Jane Itni Bagawat Kyun Hoti Hay
Rizwan Ahmed
Copy
Bara Dushwaar Hota Hai
Bara Dushwaar Hota Hai
Zara Sa Fesla Kerna
K Jeewan Kii Kahaanii Ko
Bayaan-E-Bezabaanii Ko
Kahan Se Yaad Rakhna Hai
Kahan Se Bhool Jana Hai
Usey Kitna Bataana Hai
Us Sey Ktna Chupaana Hai
Kahan Ro Ro K Hansna Hai
Kahan Hans Hans K Rona Hai
Kahan Aawaaz Denii Hai
Kahan Khamosh Rehna Hai
Kahan Rasta Badalna Hai
Kahan Se Lot Aana Hai
Rizwan Ahmed
Copy
Ek Pagal Pagal Si Larki
Ek Pagal Pagal Si Larki
Dil Toornay Se Darti Thi
Har Pal Har Lamha Khud Se Woh Jhagarti Thi
Ansoo Kiun Aye Kisi Ankh Main
Mujrim Khud Ko Samujhti Thi
Ghuut Ghuut K Jeeti Rehti Thi
Har Sans Ulajhti Rehti Thi
Soo Baar Kaha Aaay Nadan Larki
Dunya Ko Dekhna Choor Day
Khud Se Ulajhna Choor Day
Pal Pal Bikherna Choor Day.
Yahan Haassass Dil To Koi Nahi.
Yahan Nazuki Say Kaam Na Lay
Yahan Pather Banna Parta Hai
Yahan Rehumdilli Say Kaam Na Lay
Soo Barr Kaha Par Kaisay Nasamjhi
Dunya Ko Sub Samujhti Thi
Phir Wohi Hoa Jo Hona Tha
Dil Toota Uska Jiska Ussay Roona Tha
Bharosay Ki Deewar Girri
Sard Lehji Haar Baar Mili
Phir Simat Gaye Apni Zaat Main
Tamaam Dukhon Ko Samaitay Anchal Main
Ankhon Main Jazbaat Nahi
Pahlay Say Halaaat Nahi
Farq Srif Itna Hoa
Khud Apni Zaaat Ko Toor Dia
Tanhayeyoun Se Rishta Jorr Dia
Phir Tanha Tanha Rehni Lagi
Phir Khud Ko Pather Kahnay Lagi
Woh Ik Pagal Pagal Si Larki
Jo Dil Toornay Se Darti Thi
Rizwan Ahmed
Copy
Abhi Woh Dard Baqi Hay
Abhi Woh Dard Baqi Hai
Agarche Waqt Marham Hai
Magar Kuch Waqt Lagta Hai
Kisi Ko Bhool Janey Mein
Dobara Dil Basaney Mein
Abhi Kuch Waqt Lagna Hai
Abhi Woh Dard Baqi Hai
Mein Kaise Naii Ulfat Mein
Apni Zaat Ko Gum Kar Doon
Ke Mere Jism-O-Wajdaan Mein
Abhi Woh Fard Baqi Hai
Abhi Us Shakhs Ki Mujh Per
Nigah-E-Sard Baqi Hai
Abhi To Ishq Ke Raston Ki
Mujh Per Gard Baqi Hai
Abhi Woh Dard Baqi Hai
Sach
Abhi Woh Dard Baqi Hay
Rizwan Ahmed
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets