Ankhoon Me Tery Chehry Ka Jo Naqsha Hota
Phir Dil Me Usy Rakh K Me Takta Hota
Aa Jaeen Mery Khawb Me Jo Rehmat-E-Aalm
Khud Ko Me Bhi Koi Shams Smajhta Hota
Kash Me Zarra` Ey Qadme- Shahe Bat`Ha Hota
Kis Shan Se Me Qadmoon Me Rehta Hota
Jeeny Ka Saleeqa Aata `Mrny Ka Koi Dhang
Tery Dar Pe Kabhi Reh K Jo Mrta Hota
Rehmat-E-Haq K A`Br Kesy Na Brasty Mujh Pr
Shahe Fiqr-O-Ghna Ka Jo Me Mngta Hota
Mehka Skta Hai Sara Gulshan Ye Musalmaan
Jo Kbhi Boey Muhammad Me Ye Bsta Hota
Un Ki Tuseef Me Mein Yoon Zam Ho Jaoon
Jo Koi Likh Na Ska Ho Wo Me Likhta Hota
Tery Daman Me Simatny Ki Rhi Hai Hasrat
Tery Ansoun Ka Kash Me Qatra Hota
Chho Leta Kbhi To Tery Talwoon Ki Nzakt
Me Bhi Bat`Ha Ki Kisi Khak Ka Zarra Hota
Kash Me Bhi Koi Chand Ka Hissa Hota
Tery Aik Ishary Pe Bikharta Hota