Add Poetry

Saaqi Aaj Jaam-e-Shoq-e-Zahar Pila K Mar Jaayen

Poet: Ahsin Fayaz By: Ahsin Fayaz, Badin

Saaqi Aaj Jaam-e-Shoq-e-Zahar Pila K Mar Jaayen
Thak Sey Gay Hain Dil Chahta Hai Ab Ghar Jaayen

Saknaan-e-Mehboob Ny Bhi Bad-Tan Pe Nazar Na Dali
Aap Ke Qadam Hon Honton Ko Muysar To Ham Sanwar Jaayen

Dil-e-Labrez-e-Gham Sey Rooh Bhi Tarapne Lagi Yahan
Jee Chahta Hai Ab Bayaaban Mein Utar Jaayen

Kabhi Soch Kar Jo Nikaly K Na Aayenge Phir Loat K
Aap Sey Haan Door Jaayen Par Kahan Magar Jaayen

Sitam-Zareef Se Bhi Rabat Kuch Or Chahati Hai
Rag Rag Se Lahu Tapke Sb Kuch Tum Pe Luta Kr Jaayen

Ab Ke Ahsin Ko Daikh Ke Wo Royenge Bohat
Is Haal Mein Unki Dehleez Pe Agr Jaayen

Rate it:
Views: 1097
07 Jan, 2019
Related Tags on Urdu Ghazals Poetry
Load More Tags
More Urdu Ghazals Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets