✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Saba Ahmed
Search
Add Poetry
Poetries by Saba Ahmed
Khuda Karay K Meri Arzy Pak Par Utray
Khuda Karay K Meri Arzy Pak Par Utray
Wo Faslay Gul Jisy Andashaye Zawal Na Ho
Yahan Jo Phool Khilay Wo Khila Rahy Sadiun
Yahan Say Khizan Ko Guzarny Ki Bhe Majal Na Ho
Saba Ahmed
Copy
Mujh Se Na Pooch
Mujh Se Na Pooch Mere Jazbon Ki Shiddat Kia Hai
Khuda Ki Kasam Dil Mein Bus Nafrat Ka Toofan Hai
Meri Rooh Pe Gehray Zakham Lagay Hain
Aik Aik Zakham Ko Apne Haathon Se Siya Hai
Tera Mujh Pe Yeh Khas Karam Raha
Mujh Se Tu Ne Mera Har Sukoon Chheena Hai
Meri Zaat Mein Bus Kar Dekh Zara
Tootay Sheeshay Ki Tarah Wajood Mera Bikhra Hai
Khushi Ko Kabhi Mein Sath Le Kar Na Chal Saka
Us Ne Hamesha Beech Raah Mein Mujhe Chhora Hai
Ja Wafa Ki Zanjeeron Se Tujh Ko Azad Kia
Asif Ne Apni Kitab Mein Tera Nam Bewafa Likha Hai
Saba Ahmed
Copy
Muhabbat Tou Khush Guma Hai
Tumhari Angushtari Ke Nag Mai
Meri Muhabbat Chamak Rahi Hai
Agar Kabhi Ye Guma Guzre
Ke Tumhain Main Bholne Laga Ho'n
Tou Is Nageene Ko Dekh Lene
Meri Nigaho Ki Jagmagahat
Tumhari Ankhon Se Ye Kahe Gi
"Suno Muhabbat Tou Khush Guma Hai"
Agar Koi Bugz-E-Dil Ka Maara
Nazar Se Toota Hoa Sitara
Tumhare Seene Main Waswaso Ke
Kaseele Khanjar Utarta Ho
Ke Wo, Jo Dil Phaink-O-Bewafa Hai
Ke Wo, Jo Sab Pe Farefta Hai
Ke Wo, Jo Pardes Ja Basa Hai
Tumhain Bhanwar Beech Chor De Ga
Wafa Ke Sab Qaul Toor De Ga
Tou Is Se Pehle Roo Paro Tum
Tou Is Se Pehle Jal Bojho Tum
Tou Is Se Pehle Ke Ye Kaho Tum
Wo Ahd-O-Peman Sab Ghalat They
Wafa Ke Unwaan Sab Ghalat They
Sehar Ke Imkaan Sab Ghalat They
Tum Apni Angusht-E-Dilruba Per
Gulaab Chehra Jhuka Ke Kahna
"Suno Wo Sach Muj Hi Bewafa Hai?"
Tumhara Roota Sawal Sun Kar
Ye Shookh Nag Muskura Pare Ga
Muhabbaton Ke Safeer Ban Ke
Ye Surkh Nag Aur Haseen Anguthi
Meri Numaindagi Karain Ge
Tumhare Chehre Se Cheaar Karte
Tumhari Ankhon Ke Rang Parhte
Tumhare Baloo Pe Hath Rakh Ke
Tumhare Galoo Ko Thapthapa Ke
Haseen Angushtari Kahe Gi
"Suno Muhabbat Tou Khush Guma Hai"
Saba Ahmed
Copy
Is Se Pehlay
Is Se Pelhay K Kisi Aur Ki Ho Jaon
Is Se Pehlay K Hum Alag Ho Jain Tum Se
Is Se Pehlay K Haton Ki Lakeeray Badal Jain
Is Se Pehlay K Hamari Taqdeeray Badal Jain
Is Se Pehlay K Hamari Mohabat Ko Nazar Lag Jay
Is Se Pehlay K Hamaray Darmayan Faslay Barh Jain
Is Se Pehlay K Umer Intezar Mein Kat Jay
Is Se Pehlay K Tera Dil Kahiin Aur Lag Jay
Is Se Pehlay K Aaj Koi Aur Aye Mujhe Lenay
Meri Dua Hay K Tu Aye Aur Mujhe Le Jay
Saba Ahmed
Copy
Mujh Se Na Pooch
Mujh Se Na Pooch Mere Jazbon Ki Shiddat Kia Hai
Khuda Ki Kasam Dil Mein Bus Nafrat Ka Toofan Hai
Meri Rooh Pe Gehray Zakham Lagay Hain
Aik Aik Zakham Ko Apne Haathon Se Siya Hai
Tera Mujh Pe Yeh Khas Karam Raha
Mujh Se Tu Ne Mera Har Sukoon Chheena Hai
Meri Zaat Mein Bus Kar Dekh Zara
Tootay Sheeshay Ki Tarah Wajood Mera Bikhra Hai
Khushi Ko Kabhi Mein Sath Le Kar Na Chal Saka
Us Ne Hamesha Beech Raah Mein Mujhe Chhora Hai
Ja Wafa Ki Zanjeeron Se Tujh Ko Azad Kia
Asif Ne Apni Kitab Mein Tera Nam Bewafa Likha Ha
Saba Ahmed
Copy
Chorr To Nahein Jaatay
Baat Thi Mohabbat Ki
Umar Bhar Ki Chahat Ki
Bheer Mein Zamanay Ki
Saath Saath Chalna Tha
Imtehan B Aanay Thay
Zindagi K Sabhi Pal
Saath Hi Bitanay Thay
Jaanay Tum Ne Kya Socha
Bus Ik Pal Mein Hi
Baat Khatam Kar Dali
Zindagi Jo Poori Thi
Woh Adhori Kar Dali
Par Kon Tumko Samjhaye
K Mohabbato K Mosam Bhi
Roz To Nahein Aatay
Yonh Zindagi Mein Apno Ko
Chorr To Nahein Jaatay
Saba Ahmed
Copy
Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha He
Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai
Tere Laut Aane Ka Imkaan Saja Rakha Hai
Saans Tak Bhi Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt
Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hai
Rooth Jaate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho
Hum Ne Yah Soch Ke Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai
Tum Jise Rota Hua Chhorr Gaye The Ek Din
Hum Ne Us Shaam Ko Seeney Se Laga Rakha Hai
Chain Lene Nahi Deta Yeh Kisi Tor Mujhe
Teri Yaadon Ne Jo Toofaan Utha Rakha Hai
Jane Wale Ne Kaha Tha K Wo Laut Ayega Zaroor
Ek Isi Aas Pe Darwaza Khula Rakha Hai
Tere Jane Se Jo Dak Dhool Uthi Thi Ghum Ki
Hum Ne Us Dhool Ko Ankhon Mai Basa Rakha Hai
Mujh Ko Kal Shaam Se Wo Boht Yaad Aane Laga
Dil Ne Muddat Se Jo Ek Shaks Bhula Rakha Hai
Aakhri Baar Jo Aaya Tha Mere Naam Wasi
Mai Ne Is Khat Ko Kalejey Se Laga Rakha Hai
Saba Ahmed
Copy
Khushaal Se Tum Bhi Lagtey Ho
Khushaal Se Tum Bhi Lagtey Ho
Yun Afsurda Tu Hum Bhi Nahin
Par Janney Waley Jantey Hain
Khush Tum Bhi Nahin, Khush Hum Bhi Nahin
Tum Apni Khudi K Pehrey Mein
Hum Apni Zayem K Nargey Mein
Anaa Haath Hamarey Pakrey Huwey
Ik Mudat Se Galtaan Pechaa'an
Hum Apney Aap Se Uljhey Huwey
Pachtawoon K Aangaroon Mein
Mehsoor E Talatim Aaj Bhi Ho
Go Tum Ne Kinarey Dhoond Liye
Toofan Se Sambhlein Hum Bhi Nahin
Kehney Ko Saharey Dhoond Liye
Khamosh Se Tum, Hum Mehr Be Lab
Jug Beet Gey, Tuk Baat Kiye
Suno Khail Adhoora Chortey Hain
Bina Chaal Chaley, Bina Maat Kiye
Jo Bhagtey Bhagtey Thak Jaein
Woh Sayein Ruk Bhi Saktey Hain
Chalo Toroo Qasam Iqraar Karein
Hum Dono Jhuk Bhi Saktein Hain
Saba Ahmed
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets