Sabz Madham Roshni Main Surkh Aanchal Ki Dhanak
Sard Kamre Main Machalati Garm Saanson Ki Mehak
Baazuon Ke Sakht Halqe Main Koi Nazuk Badan
Silvatain Malboos Per Aanchal Bhi Kuch Dhalka Hua
Garmi-E-Rukhsar Se Dehki Hui Thandi Hava
Narm Zulfon Se Mulayam Ungliyon Kii Chhed Chhad
Surkh Honton Par Shararat Ke Kisi Lamhe Ka Aks
Reshmi Bahon Main Chudi Ki Kabhi Madham Dhanak
Sharmagin Lehjon Main Dheere Se Kabhi Chahat Ki Baat
Do Dilon Ki Dharkanon Men Gunjti Thi Ek Sada
Kaanpate Honton Pe Thi Allah Se Sirf Ek Dua
Kaash Ye Lamhe Thahar Javen, Thahar Jayen Zaraa