Sadaa Hai Fikr-E-Taraqqi Buland-Beenon Ko
Hum Aasmaan Se Laaye Hain In Zameenon Ko
Padhen Durood Na Kyon Dekh Kar Haseenon Ko
Khyaal-E-Sanat-E-Saane Hai Paak-Beenon Ko
Kamaal-E-Faqr Bhi Shaayaan Hai Paak-Beenon Ko
Ye Khaak Takht Hai Hum Boriya-Nasheenon Ko
Lahad Mein Soye Hain Chhoda Hai Shah-Nasheenon Ko
Qazaa Kahan Se Kahan Le Gayi Makeenon Ko
Ye Jhurriyan Nahin Haathon Pe Zof-E-Peeri Ne
Chuna Hai Jaama-E-Asli Ki Aasteenon Ko
Laga Raha Hun Mazaamin-E-Nau Ke Phir Ambaar
Khabar Karo Mere Khirman Ke Khosha-Cheenon Ko
Bhala Taraddud-E-Beja Se Un Mein Kya Haasil
Utha Chuke Hain Zameendaar Jin Zameenon Ko
Unhin Ko Aaj Nahin Baithne Ki Jaa Milti
Muaf Karte The Jo Log Kal Zameenon Ko
Ye Zaairon Ko Mili Sarfaraaziyaan Warna
Kahan Naseeb Ki Chumen Malak-Jabeenon Ko
Sajaaya Hum Ne Mazaamin Ke Taaza Phoolon Se
Basa Diya Hai In Ujdi Hui Zameenon Ko
Lahad Bhi Dekhiye In Mein Naseeb Ho Ki Na Ho
Ki Khaak Chhaan Ke Paaya Hai Jin Zameenon Ko
Zawaal-E-Taaqat-O Mu-E-Saped-O-Zof-E-Basar
Inhin Se Paaye Bashar Maut Ke Qareenon Ko
Nahin Khabar Unhen Mitti Mein Apne Milne Ki
Zameen Mein Gaad Ke Baithe Hain Jo Dafeenon Ko
Khabar Nahin Unhen Kya Badobast-E-Pukhta Ki
Jo Ghasb Karne Lage Ghair Ki Zameenon Ko
Jahaan Se Uth Gaye Jo Log Phir Nahin Milte
Kahan Se Dhoond Ke Ab Laayen Hum-Nasheenon Ko
Nazar Mein Phirti Hai Woh Teergi-O Tanhaayi
Lahad Ki Khaak Hai Surma Maal-Baeenon Ko
Khyaal-E-Khaatir-E-Ahbaab Chahiye Har Dum
Anees’ Thes Na Lag Jaaye Aabgeenon Ko