Add Poetry

SAFAR-E-MERAJ

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-India

Ye Dekho, Arsh-e-Aazam Ko Sajaya Ja Raha Hai
Mustafa Ki Meraj Ka Jashn Manaya Ja Raha Hai

Jo Mangna Hai Manglo, Aye Nabi Ke Ghulamo
Saare Aalam Mein Rehmato’n Ko Lutaya Ja Raha Hai

Nabi Ke Pehlu Mein Khadey Hain, Wo Aajzi Se
Jibrael Se Aadab-e-Mustafa Sikhaya Ja Raha Hai

Rab Ne Bheji Hai, Jo Sawari Mustafa Ke Liye
Pusht-e-Buraq Par Dekho, Unhey Bithaya Ja Raha Hai

Aqsa Mein Sajdey Kiye, Saare Paighambaro’n Ne
Aaj Mere Nabi Ko, Imam-ul-Ambiya Banaya Ja Raha Hai

Aasma’n Ki Janib Chal Padi, Jab Nabi Ki Sawari
Har Manzil Pe Nabiyo’n Se Kalam Kiya Ja Raha Hai

Sidra Par Aa Ke, Ye Kehne Lagey Jibreel-e-Amee’n
Ab Aagey Aapko Tanha Bulaya Ja Raha Hai

Noor-e-Khuda Ka Nazara Ab Noor-e-Mustafa Kar Rahe Hain
Yu’n Saare Aalam Ke Hijabo’n Ko Hataya Ja Raha Hai

Besh-Qimti Tohfa Mila Hai Ummat-e-Mustafa Ko
Namaz Ko Har Momin Ki Meraj Bataya Ja Raha Hai

Namazo’n Ka Sawab Kam Nahi Hoga, Ye Faman-e-ilahi Hai
Hazrat-e-Musa Se Ta’adat Ko Ghataya Ja Raha Hai

Qadr Jano Namaz Ki, Ab To Utho Shakir
Mustafa Ki Azmat Ka Ye Ehsaas Dilaya Ja Raha Hai
 

Rate it:
Views: 2671
14 Jul, 2014
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets