Add Poetry

Sahara

Poet: RIDA AMANAT By: RIDA AMANAT, khanewal

Dunia K Samundar Mein
Be Reham Si Mojein Hain
Hr Tarf Andhera Hai
Aur Bohat Hi Gehra Hai!
Magr Aisi Halat Mein
Aik Hi Sahara Hai
K Khuda-E-Aalm Ne
Aik Aisi Hasti Bheji Hai
Badbaan Bn K Jo
Dobty Hovoon Ko Jo
Aa K Tham Leta Hai
Girty Parny Waloon Ko
Piar Se Uthata Hai
Noor Bn K Aya Hai!
Roshni Phelata Hai
Teergi Mitata Hai
Wo Bathakny Waloon Ko
Rasta Btata Hai
Magr Hamain Ye Kia Hova!
Ye Kis Ki Raah Pr Chaly
K Hr Taraf Yahaan Wahaan
Khushi Ka Ik Kehat Sa Hai
Pr Us Me Bhi Suno Sda
Hai Ab Bhi Koi Lga Rha
K Jb Bhi Sror-E-Jaan Lutty
Or Na Sakoon-E-Dil Mily
To Suno K Aisi Halat Mein
Wo Aik Hi Sahara Hai
Or Akhri Sahara Hai!

 

Rate it:
Views: 465
06 Mar, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets