✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
SAIF ASHIR
Search
Add Poetry
Poetries by SAIF ASHIR
Merii Judaaiiyon Se Vo Milkar
Merii Judaaiiyon Se Vo Milkar Nahiin Gayaa
Uske Baghair Main Bhii Ko’ii Mar Nahiin Gayaa
Duniyaa Men Ghuum-Phir Ke Bhii Aise Lagaa Mujhe
Jaise Main Apnii Zaat Se Baahar Nahiin Gayaa
Kyaa Khuub Hain Hamaarii Taraqqii-Pasandiyaan
Ziine Banaa Liye Ko’ii Upar Nahiin Gayaa
Jugraaphiye Ne Kaat Diye Raaste Mere
Taariikh Ko Gilaa Hai Ke Main Ghar Nahiin Gayaa
Aisii Ko’ii Ajiib Imaarat Thii Zindagii
Baahar Se Jhaanktaa Rahaa Andar Nahiin Gayaa
Sab Apne Hii Badan Pe “Muzaffar” Sajaa Liye
Vaapas Kisii Taraf Ko’ii Patthar Nahiin Gayaa
Saif Ashir
Copy
Har Ko’ii Dil Kii Hathelii Pe
Har Ko’ii Dil Kii Hathelii Pe Hai Sehraa Rakhe
Kis Ko Sairaab Kare Vo, Kise Pyaasa Rakhe
Umr Bhar Kaun Nibhaataa Hai Talluq Itnaa
Ai Merii Jaan Ke Dushman Tujhe Allah Rakhe
Mujhko Acchaa Nahiin Lagtaa Ko’ii Hamnaam Teraa
Ko’ii Tujhsaa Ho To Phir Naam Bhii Tujhsaa Rakhe
Dil Bhii Paagal Hai Ke Us Shakhs Se Vaabastaa Hai
Jo Kisii Aur Kaa Hone De Na Apnaa Rakhe
Saif Ashir
Copy
Kathin Hai Raahguzar Thorii Duur
Kathin Hai Raahguzar Thorii Duur Saath Chalo
Bahut Karaa Hai Safar Thorii Duur Saath Chaalo
Tamaam Umr Kahaan Ko’ii Saath Detaa Hai
Main Jaantaa Huun Magar Thorii Duur Saath Chalo
Nashe Men Chuur Huun Main Bhii Tumhen Bhii Hosh Nahiin
Baraa Mazaa Ho Agar Thorii Duur Saath Chalo
Ye Ek Shab Kii Mulaaqaat Bhii Ghaniimat Hai
Kise Hai Kal Kii Khabar, Thorii Duur Saath Chalo
Abhii To Jaag Rahe Hain Chiraagh Raahon Ke
Abhii Hai Duur Sahar Thorii Duur Saath Chalo
Tavaaf-E-Manzil-E-Jaanaan Hamen Bhii Karnaa Hai
“Faraz” Tum Bhii Agar Thorii Duur Saath Chalo
Saif Ashir
Copy
Sach Baat Maan Leejiye Chehre Pe
Sach Baat Maan Leejiye Chehre Pe Dhuul Hai
Ilzaam Aaiinon Pe Lagaanaa Fizuul Hai
Terii Navaazishen Hon To Kaantaa Bhii Phuul Hai
Gham Bhii Mujhe Qubuul, Khushii Bhii Qubuul Hai
Us Paar Ab To Ko’ii Teraa Muntazir Nahiin
Kacche Ghare Pe Tair Kar Jaanaa Fizuul Hai
Jab Bhii Milaa Hai Zakhm Kaa Tohfaa Diyaa Mujhe
Dushman Zaruur Hai Vo Magar Baa-Usuul Hai
Saif Ashir
Copy
Kab Uskaa Visaal Chaahiye Thaa
Kab Uskaa Visaal Chaahiye Thaa
Bas Aik Khayaal Chaahiye Thaa
Kab Dil Ko Javaab Se Gharz Thii
Honton Ko Savaal Chaahiye Thaa
Shauq Ek Nafas Thaa Aur Vafaa Ko
Paas-E-Maah-O-Saal Chaahiye Thaa
Ek Chehraa-E-Saadaa Thaa Jo Hamko
Be-Misl-O-Misaal Chaahiye Thaa
Ek Qarb Men Zaat-O-Zindagii Hain
Mumkin Ko Muhaal Chaahiye Thaa
Saif Ashir
Copy
Ab Bhalaa Chhor Ke Ghar Kyaa
Ab Bhalaa Chhor Ke Ghar Kyaa Karte
Shaam Ke Vaqt Safar Kyaa Karte
Terii Masruufiyaten Jaante The
Apne Aane Kii Khabar Kyaa Karte
Jab Sitaare Hii Nahiin Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-O-Qamar Kyaa Karte
Vo Musaafir Hii Khulii Dhuup Kaa Thaa
Saaye Phailaa Ke Shajar Kyaa Karte
Khaak Hii Avval-O-Aakhir Thahrii
Kar (?) Ke Zarre Ko Gauhar Kyaa Karte
Raaye Pehle Se Hii Banaa Lii Tuune
Dil Men Ab Ham Tere Ghar Kyaa Karte
Ishq Ne Saare Saliiqe Bakhshe
Husn Se Kasb-E-Hunar Kyaa Karte
Saif Ashir
Copy
Ek Hunar Hai Jo Kar Gayaa Huun
Ek Hunar Hai Jo Kar Gayaa Huun Main
Sab Ke Dil Se Utar Gayaa Huun Main
Kaise Apnii Hansii Ko Zabt Karuun
Sun Rahaa Huun Ke Ghar Gayaa Huun Main
Kyaa Bataauun Ke Mar Nahiin Paataa
Jiite Ji Jab Se Mar Gayaa Huun Main
Ab Hai Bus Apna Saamnaa Darpesh
Har Kisii Se Guzar Gayaa Huun Main
Voh Hii Naaz-O-Adaa, Voh Hii Ghamze
Sar-Ba-Sar Aap Par Gayaa Huun Main
Ajab Ilzaam Huun Zamaane Kaa
Ke Yahaan Sab Ke Sar Gayaa Huun Main
Kabhii Khud Tak Pahunch Nahiin Paayaa
Jab Keh Vaan Umr Bhar Gayaa Huun Main
Tum Se Jaanaan Milaa Huun Jis Din Se
Be-Tarah, Khud Se Dar Gayaa Huun Main
Kuu–E–Jaanaan Men Sog Barpaa Hai
Ke Achaanak, Sudhar Gayaa Huun Main
Saif Ashir
Copy
Tere Aane Kaa Dhokaa Saa Rahaa
Tere Aane Kaa Dhokaa Saa Rahaa Hai
Diyaa Saa Raat Bhar Jaltaa Rahaa Hai
Ajab Hai Raat Se Aankhon Kaa Aalam,
Ye Dariyaa Raat Bhar Charhtaa Rahaa Hai
Sunaa Hai Raat Bhar Barsa Hai Baadal,
Magar Vo Shah’r Jo Pyaasaa Rahaa Hai?
Vo Ko’ii Dost Thaa Achche Dinon Kaa,
Jo Pichhlii Raat Se Yaad Aa Rahaa Hai
Kise Dhuundoge In Galiyon Men “Nasir”?
Chalo Ab Ghar Chalen, Din Jaa Raha Hai
Saif Ashir
Copy
Tanhaa Ishq Ke Khwaab Na Bun
Tanhaa Ishq Ke Khwaab Na Bun
Kabhi Hamari Baat Bhi Sun
Thora Gham Bhi Uthaa Pyaare
Phool Chune Hain Khaar Bhi Chun
Sukh Ki Neendein Sone Wale
Marhoomi Ke Raag Bhi Sun
Ashir
Tanhaii Mein Teri Yaad
Jaise Ek Sureeli Dhun
Jaise Chaand Ki Thandi Lau
Jaise Kirnon Ki Kun Mun
Jaise Jal-Parion Ka Taaj
Jaise Paayal Ki Chhun Chuun
Saif Ashir
Copy
Bevafaa Tere Ruuth Jaane Se
Bevafaa Tere Ruuth Jaane Se
Aankh Miltii Nahiin Zamaane Se
Aarizaa Ho Gayaa Hai Rone Kaa
Chand Ghariyon Ke Muskuraane Se
Kitne Tuufaan Uthenge Saahil Par
Ek Kashtii Ke Duub Jaane Se
Dhuund Aayaa Tujhe Zamaane Men
Tum Kahaan Gum Ho Ek Zamaane Se
Ab To Duniyaa Se Jaa Rahaa Huun Main
Laut Aao Isii Bahaane Se
Kis Qadar Barh Gayii Hai Lazzat-E-Gham
Shiddat-E-Gham Men Muskuraane Se
Daar Hii Ko Gale Lagaao “Ashir”
Maut Behtar Hai Sar Jhukaane Se
Saif Ashir
Copy
Ai Maut! Unhein Bhulaaye Zamaane
Ai Maut! Unhein Bhulaaye Zamaane Guzar Gaye
Aa Jaa Ki Zahar Khaaye Zamaane Guzar Gaye
O Jaane Vaale Aa Ki Tere Intazaar Mein
Raste Ko Ghar Banaaye Zamaane Guzar Gaye
Gham Hai Na Ab Khushi Hai Na Ummid Hai Na Yaas
Sab Se Nijaat Paaye Zamaane Guzar Gaye
Kya Laayaq-E-Sitam Bhii Nahin Ab Main Doston
Patthar Bhi Ghar Mein Aaye Zamaane Guzar Gaye
Jaane Bahaar Phuul Nahin Aadmi Hun Main
Aa Jaa Ki Muskuraaye Zamaane Guzar Gaye
Kya Kya Tavaqqoat Thi Aahon Se Ai ‘Ashir’
Ye Teer Bhi Chalaaye Zamaane Guzar Gaye
Saif Ashir
Copy
Nazr Andaaz
Wo Jo Geet Tumne Suna Nahi
Meri Muddaton Ka Riyaz Tha
Mere Dard Ki Thi Wo Daastan
Jise Tum Hansi Main Urra Gaye
Saif Ashir
Copy
Hath Zakhmi
Hath Zakhmi Howay Tu Kuch Apni Hi Khata Thi Ash!R
Mene Qismat Ki Lakeeron Ko Mitana Chaha Usy Panay K Liye
Saif Ashir
Copy
Tujhy Pay Kay Tujhy Khoonay Ka
Tujhy Pay Kay Tujhy Khoonay Ka Ehsaas Kaisa Hay
Yeh Drad Hay Kay Dawa Yeh Dagha Kaisa Hy
Mudaato Jisay Dhoonti Rahain Ye Ankhain
Us Say Door Rahnay Ka Yeh Zehar Kaisa Hay
Guham Ishaq Mein Tarapnay Ka Apna Hi Saroor Hay
Samundar Mein Rah Kar Bhe Piyasa Rahana Kaisa Hay
Hasratain Jalti Hain Unki Mehfil Mein Sham Dhalay
In Roshnio Mein Bhe Gumnam Rahna Kaisa Hay
Aik Din Tujhy Yeh Ahsaas Ho Jaye Ga Jaana
Mil Kar Bhe Bachrna Ka Ye Azaab Kaisa Hay
Saif Ashir
Copy
Lamha Lamha Mein Toot Jata Hon
Tujh Say Becharnay Kay Khoof Say Mein Lamha Lamha Toot Jata Hon
Kabhi Khud Say Batain Karti Hon Tu Kabhi Khud Say Hi Rooth Jata Hon
Dhalti Shamoo Mein Udas Penchiyon Ki Tarah Jab Loot Kay Ghar Ata Hon
Jaana Tujhy Ghar Na Pa Kar Mein Sookhy Tenkoo Ki Tarah Bikhar Jata Hon
Kabhi Teri Yaadon Ko Khud Say Juda Na Kar Paon Ga Jaana
Mein Bas Isi Liya Apna Khayal Rakhta Hon
Saif Ashir
Copy
Tum Jo Keh Doo
Tum Jo Keh Doo Tu Yeh Sitam Bhe Gawar Kar Lain
Log Kehty Hain Kay Ham Tum Say Kinara Kar Lain
Tum Nay Jis Haal E Preshan Say Nikala Hum Ko
Aasra Dy Kay Muhabbat Ka Sambhala Hum Ko
Sochtain Hain Wohi Haal Doobara Kar Lain
Log Kehty Hain Kay
Ab Tum Say Mulaqat Nahi Hony Ki
Mil Bhe Jain Tu Baat Nahi Hony Ki
Akhari Baar Zikar Tumhara Kar Lain
Log Kehty Hain Kay
Akhari Baar Khayalo Mein Basa Lain Tumko
Akhari Baar Kalayjy Say Laga Lain Tumko
Phir Apnay Tarapny Ka Nazara Kar Lain
Log Kehty Hain Kay
Saif Ashir
Copy
Bary Nadan
Bary Nadan Thy Hum Jo Piyar Kar Behty Ashir
Yahan Loog Piyar Karty Hain Waqat Guzarny K Liye
SAIF ASHIR
Copy
Pehla piyaar
Suna Tha Pehla Piyaar Kabhi Nahe Boolta Ashir
Aaj Ja Kar Kar Yaqeen Hoa Loog Piyaar Kyoun Karty Hain
SAIF ASHIR
Copy
Love U afridi
Dekha Karta Tha Bary Shoq Se Jis K Liye Cricket Ashir
Usko Dhood Main Makhi Ki Tarah Nikal Pehnka Pcb Neh
SAIF ASHIR
Copy
Piyar Bar Bar
Zindagi Meain Hota Hai Kyoun Piyar Bar Bar Mje Ashir
Kitna Nadan Dil Hai Kitni Asani Se Phir Sambal Jata Hai
SAIF ASHIR
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets