✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
sajjad shah
Search
Add Poetry
Poetries by sajjad shah
Ajab Ek Shor Sa Barpa Hai Kahin
Ajab Ek Shor Sa Barpa Hai Kahin
Koi Khaamosh Ho Gaya Hai Kahin
Hai Kuchh Aisa Ki Jaise Ye Sab Kuchh
Ab Se Pehle Bhi Ho Chuka Hai Kahin
Jo Yahan Se Kahin Na Jaata Tha
Woh Yahan Se Chala Gaya Hai Kahin
Tujh Ko Kya Ho Gaya Ki Cheezon Ko
Kahin Rakhta Hai Dhundhta Hai Kahin
Tu Mujhe Dhoondh Main Tujhe Dhoondhun
Koi Hum Mein Se Reh Gaya Hai Kahin
Isi Kamre Se Ho Ke Koi Widaa
Isi Kamre Mein Chhup Gaya Hai Kahin
sajjad shah
Copy
Mujhko Aap Apna Aap Dijiyega
Mujhko Aap Apna Aap Dijiyega
Aur Kuchh Bhi Na Mujh Se Lijiyega
Aap Bemisl Bemisaal Hun Main
Mujh Siwa Aap Kis Pe Rijhiyega
Aap Jo Hain Azal Se Hi Benaam
Naam Mera Kabhi Toh Lijiyega
Aap Bas Mujh Mein Hi Toh Hain So Aap
Mera Behad Khyaal Kijiyega
Hai Agar Waaqai Sharaab Haraam
Aap Hothon Se Mere Pijiyega
Intezaari Hun Apna Main Din Raat
Ab Mujhe Aap Bhej Dijiyega
Aap Mujh Ko Bahut Pasand Aaye
Aap Meri Kameez Sijiyega
Dil Ke Rishte Hain Khoon Jhooth Ki Sach
Ye Muamma Kabhi Na Boojhiyega
Hai Mere Jism-O Jaan Ka Maazi Kya ?
Mujh Se Bas Ye Kabhi Na Poochiyega
Mujh Se Meri Kamaai Ka Sar-E Shaam
Paai Paai Hisaab Lijiyega
Zindagi Kya Hai Ik Hunar Karna
So Qareene Se Zehar Pijiyega
Main Jo Hun ‘Jaun Eliya’ Hun Janaab
Iska Behad Lihaaz Kijiyega
sajjad shah
Copy
Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon
Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main
Ik Bar Apne Aap Mein Aaon To Aaon Main
Dil Se Sitam Ki Be’saro Kaari Hawaa Ko Hai
Woh Gard Urraa Rahi Hai Ke Khud Ko Ganwaaon Main
Naadim Hoon Woh Ke Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin
Woh Kaam Hain Ke Apni Judai Kamaaon Main
Kyon’kar Ho Apne Khawab Ki Aankhon Mein Wapsi
Kis Taur Apne Dil Ke Zamamon Mein Jaaon Main
Ik Rang Si Kamaa’n Ho Khushbu Sa Ik Teer
Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaon Main
Shikwa Sa Aik Dareecha Ho Nasha Sa Ik Sakoot
Ho Shaam Aik Sharab Si Aur Larr’khraon Main
Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil
Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaon Main
sajjad shah
Copy
Her Bar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum
Her Bar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum
Har Bar Tum Se Mil Ke Bicharta Raha Hun Mein
Tum Kon Ho Ye Khud Bhee Nahee Jaanti Ho Tum
Mein Kon Hun Ye Khud Bhee Nahee Jaanta Hun Mein
Tum Mujh Ko Jaan Kar Hee Padi Ho Azaab Mein
Aur Is Tarah Khud Apni Sazaa Ban Gayaa Hun Mein
sajjad shah
Copy
Shayed Muja Kisi Se Muhabat Nahi Howi
Shayed Muja Kisi Se Muhabat Nahi Howi
Laikin Yaqen Sab Ko Dilata Raha Hun Mein
Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye
Parchaayion Pe Rung GIraata Raha Hun Mein
Apna Misaalya Mujhe Ab Tak Na Mil Saka
Zarron Ko Aaftaab Banaata Raha Hun Mein
Kia Mil Gaya Zameer Hunar Baich Kar ?
Itna Ke Sirf Kaam Chalaata Raha Hun Mein
Kal Dophair Ajeeb Si Ek Be-Dili Rahee
Bas Titliaan Jalaa Ke Bujhaata Raha Hun Mein
sajjad shah
Copy
Thi Agar Anay Mein Maslihat Hail
Thi aGar Anay Mein Maslihat Hail
Yad Aana Koi Zarori Tha ?
Dekhiye Ho Gayi Ghalat-Fehmi
Muskuraana Koi Zaroori Tha ?
Lijiye Baat Hee Na Yaad Rahi
Gungunaana Koi Zaroori Tha ?
Gungunaa Kar Meri Jawaan Ghazlain
Jhoom Jana Koi Zaroori Tha ?
Mujh Ko Paa Kar Kisi Khayaal Mein Guum
Chhup Ke Aana Koi Zaroori Tha ?
Uff Wo Zulfain, Wo Naaganain, Wo Hansi
Yun Daraana Koi Zaroori Tha ?
Aur Aisay Eham Mazaaq Ke Baad
Rooth Jaana Koi Zaroori Tha ?
sajjad shah
Copy
Hum Rahay Per Nahe Rahay Aabad
Hum Rahay Per Nahe Rahay Aabad
Yad Ke Gher Nahe Rahay Aabaad
Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar
Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad
Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa
Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad
Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay
In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad
Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ????
Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad
sajjad shah
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets