✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Saqib Anjum
Search
Add Poetry
Poetries by Saqib Anjum
Hijr O Wisaal
Wisaal Mera Naseeb Kar De
Hijar Ki Ratein To Kat Gayi Hain
Qareeb Kar Le Mujhy Tu Khud Se
Ye Duriyan To Simat Gayi Hain
Khushi K Lamhe Bhi A Gaye Hain
Udasiyan To Palat Gayi Hain
Mere Sanam Ye Karam Hua Hai
Hijar Ki Kaahi To Chat Gayi Hai
Saqib Anjum
Copy
Safr e Zaat
Kuch Fasla Bhi Nahin Yahan
Meri Zaat Se Teri Zaat Tak
Mafhoom Hai Ik Sa Hi Ab
Meri Baat Se Teri Baat Tak
Hijr Mein Bahein Ashq Yun
Wasl Ki Us Raaat Tak
Tera Naam Hai Jo Labon Pe Hai
Fani Se Us Sabaat Tak
Tu Ne Sanwara Hai Mujhey
Kufr Se Hidayaat Tak
Rahun Ga Muntazir Sada Tera
Tujh Se Ik Mulaqaat Tak
Wo Milan Jo Ho Zara Sanam
Meri Mout Tak Hayaat Tak
Mera Safr Hai Bara Mukhtasir
Teri Zaat E Ba Sifaat Tak
Tera Saath Hi Mujhe Chahiye
Jahan Se Pul E Siraat Tak
Rahun Ga Tera Aur Sirf Tera
Is Ishq Ki Mamaat Tak
Aur Ishq To Marta Nahi
Har Amal Ki Muraat Tak
To Milan Bhi Ho Ga Kabhi Sanam
Jo Ruko Kabhi Ishq Ki Salaat Tak
Saqib Anjum
Copy
Mera Mehboob
Tera Chehra Gulab Ho Jaise
Ya Koi Mahtaab Ho Jaise
Nasha Har Azu Se Tapakta Hai
Woh Mujassam Sharab Ho Jaise
Baat Be Baat Atsab Kare
Roz E Mehshar Ka Baab Ho Jaise
Koi Khushi Kabhi Raas Hi Na Ayi
Ye Zindagi Azaab Ho Jaise
Ankh Kholi To Bazm Weeran Thi
Be Haqeeqat Hubab Ho Jaise
Saqib Anjum
Copy
Tera Wo Khaaka
Meri Nam Naak Ankhon Mein Jo Khaaka Tera Baqi Hai
Bina Is Naqsh Ke Jeena Mera Mumkin Nahi Ho Ga
Jo Dil Mein Yaad Teri Hai Tujhe Jo Sochta Hun Main
Bina Is Kask Ke Jeena Mera Mumkin Nahi Ho Ga
Saqib Anjum
Copy
Asar E Mai
Teri Mae Ka Asar Jo Baqi Hai
Teri Rooh Ka Safar Jo Baqi Hai
Abhi Kahin Nahi Manzil Qareeb
Tujhe Milne Mein Abhi Koi Qasar Baqi Hai
Mere Ashaar Mein Tera Hi Zikar Hota Hai
Teri Tareef Mein Bas Koi Nasar Baqi Hai
Saqib Anjum
Copy
Ishq ka Safar
To Aa K Ab Lout Chalein Un Raahon Mein
Us Waqt Ko Soch Ke In Aahon Mein
Jab Ishq Bhi Tha Aur Wasl Bhi Tha
Firaq O Gham Ka Pata Nahi Tha
Wo Waqt Aisa K Gham Tha Koi
Na Roty Thy Aisy Zaar O Qatar
Wo Waqt Kaisa Tha Kia Kahun Main
Ajab Nasha Tha Ajab Hi Khumaar
Wo Tarey Ginna Wo Tujh Ko Chahna
Wo Narm Zulfein Wo Shiddat Ka Pyar
Teri Wo Baatein, Wo Khwab Apny
Wo Muhabbatein Wo Ishq Ka Mayar
Tera Wo Hansna, Wo Rooth Jana
Wo Dooriyon Mein Dil E Beqarar
Teri Wo Hasti Tera Sarapa Teri Wo Qurbat
Wo Harf Tere Wo Dil E Dildaar
Yeh Duriyan Ye Tarap Nayi Hai
Qaza Nayi Hai Naya Hi Hai Ishq Ka Mazaar
Phir Bhi Aye Dil Bata De Mujh Ko
Kiyun Nahi Hai Tujh Ko Khud Hi Pe Ikhtiyar
To Aa K Ab Lout Chalein Un Raahon Mein
Us Waqt Ko Soch K In Aahon Mein
Saqib Anjum
Copy
Koi Baat Tu Ne Bhi To Is Dil Se Chupai Ho Gi
Koi Baat Tu Ne Bhi To Is Dil Se Chupai Ho Gi
Is Jag Ki Koi Reet Koi Rasm Bhulai Ho Gi
Khud Apni Hi Zaat Bhaly Ho Anjaan
Saary Jag Se To Shanasai Ho Gi
Aag Ishq Ki Jo Dil Pe Tere Kab Se Lagi Hai
Teri Palkon Ne Wo Aag Bujhai Ho Gi
Tere Husn Ka Janaan Kia Paimana Bhi Hoga
Sajdy Mein Tere Husn K Poori Khudai Ho Gi
Khud Auron Ko Tamaskhar Ka Nishana Banata Hai
Tu Ne Bhi Koi Yaad Uski Mitaai Ho Gi
Saqib Anjum
Copy
Bewafa Sharabi Shayari in Urdu
Na Adaey Dilbarana Na Nawaey Ashiqana
Main Kise Sunaoon Ja Kar Dil E Zar Ka Fasana
Unn Ki Nawazishon Se Na Jia Na Mar Saka Main
Har Roz Aik Wada Har Shab Naya Bahana
Jab Bhi Kia Irada Tark E Mai Kashi Ka
Mujh Se Lipat Lipat K Roya Sharab Khana
Us Zulf Se Tapak Kar Har Qatra Mai Hua Hai
Shayad Isi Liye Hai Behka Hua Zamana
Ehsaas Sehra Sehra Dil Pyas Ka Samandar
Jab Se Hai Keh Gaya Wo Ik Harf Mehermana
Sanson K Korre Mujh Par Ab Tak Baras Rahe Hain
Shayad Na Khatam Hogi Ye Sazaaye Jawidana
Saqib Anjum
Copy
Pindaar e Shikasta
Mujh Ko Pindar E Shikasta Ne Ubharny Na Dia
Dsht E Afkar E Pareshan Se Guzarny Na Dia
Yun Bhi Koshish Hi Na Ki Hum Ne Kabhi Marham Ki
Aur Kuch Waqt Ne Bhi Zakhm Ko Bharny Na Dia
Apni Kotahi Bhi Susti Bhi Nazar Mein Hai Magar
Hasidon Ne Bhi Mere Fun Ko Nikharny Na Dia
Main Bhi Jhuk Jata To Hr Kam Sanwar Sakta Tha
Meri Khud Dar Tabiat Ne Sanwarny Na Dia
Main To Sehra Ke Har Ik Zarry Mein Shamil Hota
Teri Yadon Ne Tere Gham Ne Bikharny Na Dia
Zindagi Cheeni Gai Mujh Se Magar Phir Bhi Anjum
Mujh Ko Sangeeni E Halaat Ne Marne Na Dia
Saqib Anjum
Copy
Shab e Wasl
Judai Ke Lamhon Mein Tum Saath Thy Aur
Shab E Wasl Tanha Hi Kaati Hai Hum Ne
Saqib Anjum
Copy
Har Khushi Mujh Se Gurezan Hai Gurezan Hi Sahi
Har Khushi Mujh Se Gurezan Hai Gurezan Hi Sahi
Teri Mehfil Na Sahi Gardish E Doraan Hi Sahi
Ho Karam Ya Ke Sitam Mere Liye Rahat Hai
Lab E Khandan Na Sahi Deeda E Giryan Hi Sahi
Ik Khwahish Hai Behr E Tor Ho Nisbat Tujh Se
Lutfe Janan Na Sahi Jor E Raqeeban Hi Sahi
Teri Mehfil Se Jo Nikle To Kiya Qarya O Dasht
Bazme Yaran Na Sahi Dasht O Bayaban Hi Sahi
Saqib Anjum
Copy
Tafheem E Zindagi Ki Saza Pa
Tafheem E Zindagi Ki Saza Pa Raha Hun Main
Yun Rafta Rafta Suey Marag Ja Raha Hun Main
Takmeel E Zindagi Ki Tamanna Liye Huye
Ik Marg E Musalsal Ka Maza Pa Raha Hun Main
Jin Ko Sajaya Khoon E Jigar Se Qadam Qadam
Unhi Raston Pe Aj Luta Ja Raha Hun Main
Un Ki Jafa Ka Haal Jo Honton Pe A Gaya
Sangsaar Sare Aam Kia Ja Raha Hun Main
Khushiyan Hi Gham Nawaz Hain Gham Afreen Bhi
Deewana In Ka Phir Bhi Hua Ja Raha Hun Main
Shayad Tujhe Bhi Hamsafar Ki Talash Ho Anjum
Isi Aas Pe Tere Saath Chala Ja Raha Hun Main
Saqib Anjum
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets