✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Sarmad Ali
Search
Add Poetry
Poetries by Sarmad Ali
Wo Baaten Terii Wo Fasaane Terey
Vo Baate.N Terii Vo Fasaane Tere
Shaguftaa Shaguftaa Bahaane Tere
Bas Ek Zakhm Nazzaaraa Hissaa Meraa
Bahaaren Terii Aashiyaane Terey
Bas Ek Daag-E-Sajdaa Merii Qaayenaat
Jabiinen Terii Aastaane Terey
Zamiir-E-Sadaf Men Kiran Kaa Muqaam
Anokhe Anokhe Thikaane Tere
Bahaar-O-Khizaan Kam Nigaahon Ke Weham
Bure Yaa Bhale Sab Zamaane Terey
"Adam" Bhi Hai Teraa Hikaayat_Kadaah
Kahan Tak Gaye Hen Fasaane Terey
Sarmad Ali
Copy
Qabool Hey
Pathar Hey Terey Haath Mey Ya Koi Phool Hey
Jeb Tu Qabool Hey Tera Sab Kuch Qabool Hey
Tu Dil Pey Bojh Ley K Mulaqat Ko Na Aa
Milna Hey Is Tarah To Bicharrna Qabool Hey
Phir Tu Ney Dey Dia Mujhey Neya Fasla
Ser Pey To Abhi Pichli Musafat Ki Dhool Hey
Tu Yaar Hey To Itni Karri Guftagu Na Ker
Tera Asool Hey To Mera B Asool Hey
Lafzon Ki Aabru Ko Yun Na Gawa Dost
Jo Maant Anhi Usey Kehna Fazool Hey
Sarmad Ali
Copy
Kehtey Kehtey
Goongi Ho Gai Aaj Zubaan Kuch Kehtey Kehtey
Hichkicha Gaya Mey Khud Ko Musalman Kehtey Kehtey
Ye Baat Nhi K Muj Ko Us Per Yaqeen Nhi
Bes Darr Gaya Khud Ko Sahib-E-Imaan Kehtey Kehtey
Tofeeq Na Huwi Mujhey Eik Waqt Ki Namaz Ki
Aur Chup Huwa Moazan Azaan Kehtey Kehtey
Kisi Kaafir Ney Jo Pucha Ye Kia Hey Maheena
Sharam Sey Paani Paani Huwa Mey Ramazan Kehtey Kehtey
Merey Shelf Mey Gard Sey Aatti Kitab Ka Jo Pooch
Mey Garrh Gaya Zameen Mey Qur'an Kehtey Kehtey
Ye Sun K Chup Saad Li Usney
Yoon Laga Jesey Ruk Gaya Ho Mujhey Wo Hewaan Kehtey Kehtey
Sarmad Ali
Copy
Chalo Iqrar Karen
Khushaal Se Tum Bhi Lagtey Ho
Yun Afsurda Tu Hum Bhi Nahin
Par Janney Waley Jantey Hain
Khush Tum Bhi Nahin, Khush Hum Bhi Nahin
Tum Apni Khudi K Pehrey Mein
Hum Apni Zayem K Nargey Mein
Anaa Haath Hamarey Pakrey Huwey
Ik Mudat Se Galtaan Pechaa'an
Hum Apney Aap Se Uljhey Huwey
Pachtawoon K Aangaroon Mein
Mehsoor E Talatim Aaj Bhi Ho
Go Tum Ne Kinarey Dhoond Liye
Toofan Se Sambhlein Hum Bhi Nahin
Kehney Ko Saharey Dhoond Liye
Khamosh Se Tum, Hum Mehr Be Lab
Jug Beet Gey, Tuk Baat Kiye
Suno Khail Adhoora Chortey Hain
Bina Chaal Chaley, Bina Maat Kiye
Jo Bhagtey Bhagtey Thak Jaein
Woh Sayein Ruk Bhi Saktey Hain
Chalo Toroo Qasam Iqraar Karein
Hum Dono Jhuk Bhi Saktein Hain
Sarmad Ali
Copy
Ansooo Ki Ik Bhoond
Aansoo Ki Ek Boond Hoon Main
Chaho To.... Pyaas Bujha Lo
Chaho To.... Palkon Pe Saja Lo
Gulshan Main Khila Ek Phool Hoo Main
Chaho To.... Mandir Mein Chadha Do
Chaho To.... Qabar Per Saja Do
Ek Masoom Si Muskhurahat Hoo Main
Chaho To.... Hoton Pey Saja Lo
Chaho To....Ashq Bana Key Gira Do
Sangeet Ki Ek Dhun Hoo Main
Chaho To....Koi Geeton Mein Piro Lo
Chaho To.... Udassi Mein Gunguna Lo
Zindagi Ki Aakhiri Saans Hoo Main
Chaho To.... Issey Rok Lo
Chaho To.... Chupchaap Nikal Jaane Do
Sarmad Ali
Copy
Zehr-E-Mohabt
Shikwey Bhi Hazaron Hain
Shikayat Bhi Boht Hey
Is Dil Ko Mgr Us Sey
Muhobat Bhi Bht Hey
Ye Bhi Hey Tmanna Key
Usy Dil Se Bhula Den
Is Dil Ko Mgr Uski
Zrurat Bhi Bohot Hey
Aa Jata Ha Milne Jo
Tasawur Me Sar-E-Sham
Us Shakhs Ki Itni C
Inayat B Bht Hy
Dekhen To Zra P K Jana
Zehr-E-Mohabt
Kehty Hen Imdad K Is
Zehr Me Lazat Bhi Boht Hey
Sarmad Ali
Copy
Mey Aesi Mohobbat Krta Hun( )LARKI KA JAWAB
Tum Jab Bhi Ghar Par Aatay Ho
Aur Sab Say Batain Kartay Ho
Main Aut Say Parday Ki Janan
Bus Tum Ko Dekhti Rehti Hoon
Ik Tum Ko Dekhnay Ki Khatir
Main Kitni Pagal Hoti Hoon
Main Aisi Mohabat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya Ghanti Phone Ki Bajti Ho
Main Chor K Sab Kuch Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paoon To
Ji Bhar K Ronay Lagti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Mehfil Main Kaheen Bhi Jana Ho
Kapron Ka Selection Karna Ho
Rang Bohat Say Samnay Bikhray Hoon
Us Rang Pe Dil Aa Jata Hai
Jo Rang K Tum Ko Bhata Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Rozana Apnay College Main
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Hoay
Ya Break K Khali Ghantay Main
Sakhyoon Say Batain Kartay Hoay
Meray Dhiyan Main Tum Aa Jatay Ho
Main, Main Nahin Rehti Phir Janan
Main Tum Main Gum Ho Jati Hoon
Bus Khuwabon Main Kho Jati Hoon
Un Aankhon Main Kho Jati Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Jis Chehray Par Bhi Nigha Paray
Her Chehra Tum Sa Lagta Hai
Wo Sham Ho Ya Ke Dhop Samay
Sab Kitna Bhala Sa Lagta Hai
Janay Ye Kaisa Nasha Hai
Garmi Ka Tapta Mosam Bhi
Jaray Ka Maheena Lagta Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Tum Jab Bhi Samnay Aatay Ho
Main Tum Say Sunn Na Chahti Hoon
Kash Kabhi Tum Ye Keh Do
Tum Mujh Say Mohabbat Kartay Ho
Tum Mujh Ko Bohat Hi Chahtay Ho
Lekin Janay Tum Kyun Chup Ho
Yeh Soch K Dil Ghabrata Hai
Aisa To Nahin Hai Na Jana
Sirf Meri Nazar Ka Dhoka Ho
Tum Nay Mujh Ko Chaha Hi Na Ho
Koi Aur Hi Dil Main Rehta Ho
Main Tum Say Poochna Chahti Hoon
Main Tum Say Kehna Chahti Hoon
Lekin Kuch Pooch Nahin Sakti
Mana Ke Mohabbat Hai Phir Bhi
Lab Apnay Khol Nahin Sakti
Main Larki Hoon Kaisay Keh Doon
Main Kaisi Mohabat Karti Hoon
Main Tum Say Ye Kaisay Pochoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Chup Chap See Main...Ho Jati Hoon
Phir Dil Main Apnay Kehti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Sarmad Ali
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets