Shahid-e-ishq Hue Qais Namwar Ki Tarah
jahan mein aib bhi hum ne kiye hunar ki tarah
kuchh aaj sham se chehra hai faq sahar ki tarah
Dhala hi jata hun furqat mein dopahar ki tarah
siyah-bakhton ko yun bagh se nikal ai charkh
ki chaar phul to daman mein hon sipar ki tarah
tamam khalq hai khwahan-e-abru ai rab
chupa mujhe sadaf-e-qabr mein guhar ki tarah
tujhi ko dekhunga jab tak hain barqarar aankhen
meri nazar na phiregi teri nazar ki tarah
hamari qabr pe kya ehtiyaj-e-ambar-o-ud
sulag raha hai har ek ustuKHan agar ki tarah
nahif-o-zar hain kya zor baghban se chale
jahan bitha diya bas rah gae shajar ki tarah
tumhaare halqa-ba-goshon mein ek hum bhi hain
pada rahe ye sukhan kan mein guhar ki tarah
'anis' yun hua haal-e-jawani-o-piri
badhe the nakhl ki surat gire samar ki tarah