Sina-O-dil hasraton se chha gaya
bas hujum-e-yas ji ghabra gaya
tujh se kuchh dekha na ham ne juz jafa
par vo kya kuchh hai ki ji ko bha gaya
khul nahin sakti hain ab ankhen miri
ji men ye kis ka tasavvur aa gaya
main to kuchh zahir na ki thi ji ki baat
par miri nazron ke dhab se pa gaya
pi gai kitnon ka lohu teri yaad
gham tira kitne kaleje kha gaya
mit gai thi us ke ji se to jhichak
‘dard’ kuchh kuchh bak ke tu chaunka gaya