Add Poetry

Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain

Poet: Allama Iqbal By: junaid, khi

Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain

Tehi, Zindagi Se Nahin Ye Fazaen
Yahan Saikron Karwan Aur Bhi Hain

Qanaat Na Kar Alam-e-Rang-o-Bu Par
Chaman Aur Bhi Ashiyan Aur Bhi Hain

Agar Kho Gya Ek Nasheeman To Kya Gham
Maqamat-e-Aah-o-Faghan Aur Bhi Hain

Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Asman Aur Bhi Hain

Issi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja
Ke Tere Zaman-o-Makan Aur Bhi Hain

Gye Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Raazdaan Aur Bhi Hain

Rate it:
Views: 2768
30 Aug, 2019
Related Tags on Allama Iqbal Poetry
Load More Tags
More Allama Iqbal Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets