Soraj Ki Ankhein Bn Kr Gunbd Ko Tknay Lag Jaoun
Chand Ki Me Kirnein Bn Kr Rozy K Sath Lipat Jaon
Qadmoon Say Apny AQA Ne Bat`Ha Ka Sitara Chamkaya
Is Dil Ki Bhi Hasrat Hai Ik Chota Sa Madina Bn Jaon
Me Garcha Khak Ka Zar`Ra Hoon Pr Jaun Jo Dar Pr Un K
Ronaq-E-Shab Na Kehlaon Me Sehr Ka Soraj Bn Jaon
Ik Bar Jo Urr Kr Jaon Us Dr Ki Dewaroon Ko Choo Loon
Ik Bar Kuch Aisa Ho Jay Me Bad-E-Saba Se Mil Jaon
Qurb-E-Ilahi Ki Manzil Ko Bs Ishaq-E-Muhammad Hi Rasta Hai
Ye Manzil To Kuch Dor Nhi Is Rusty Py Jo Lag Jaon
Jb Me Ne Apni Safr-E-Zeest Me Hai Rehbar Un Ko Bnaya To
Phir Kesy Pohanchany Se Pehly Rasty Me Aa K Thak Jaon
Un Ki Ata Hoti Hi Gai Midhat Ye Qalm Likhta Hi Gya
Warna Ye Kuch Muskil Tha K Bat Yoon Un Ki Keh Jaon