Add Poetry

Takmeel-e-Darsequran

Poet: binte By: binte, karachi

Jab Takmeel Ko Pohncha Darsequran
Hua Kuch Youn Asur Hum Py
Jab Ashanai Barhi Rab Sy
Andaza Hua Us Ki Mohabbat Ka Hum Py
Hamari Mamoli Si Ibadat K Sily Mai Bari Sy Bari Lagzish Ko Wo
Khudawand Tala
Bakhsh Deta Hai ,Maaf Kardeta Hai
Apny Bando Sy Jo Karta Hai Mohabbat Be-Hissab Wo
Rehmat-E-Baritala
Sambhal Leta Hai Bacha Leta Hai
Zulmat K Andhero Mai Jab Kho Jay Bnda Touasal Mohabbat Ki Pehchan Wo
Hadi-E-Azam
Dekha Deta Hai Bata Deta Hai
Mai Hu Sharminda Ehassa Hai Nidamat Ka Ansoo Hai Seel-E-Rawan Per Wo Hai
Hasti-E-Gafoorur Raheem
Bakhsh Deta Hai Qabool Karta Hai
Itmenan Ye Aisa Us RAB Ny Dilaya Hai , Hai Ye Eman Ka Wo Hissa Jo Man’na Hai.
K Rab-E-Kareem
Bakhsh Deta Hai ,Maaf Kardeta Hai ,Sambhal Leta Hai , ,Qabool Karta Hai
Hua Kuch Youn Asar Hum Py
Jab Takmeel Ko Pohncha Darsequran

Rate it:
Views: 1695
14 Oct, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets