Add Poetry

Tanhai

Poet: Sharifuddin Kazi By: Sharifuddin Kazi, jeddah

Meri Tanhai Mein Ghar Apna Basate Kyun Ho
Paas Atay Nahi Tou Khwab Mein Atey Kyun Ho

Skype Ya Msn Per Jab Baat Kartay Nahi
Facebook Pe Shakal Dikhake Jalate Kyun Ho

Skading Karte Ho Gari Pe Apnay Bawa Ki
Baap Ka Maal Hay To Subko Dikhate Kyun Ho

Qurbatain Door Karli Hain Itni Zamane Ke Sath
Door Jana Tha Phir Mohabbatain Jatate Kyun Ho

Jantay Ho Ke Ghalat Kaam Kia Hay Apnon Ne
Hat Dharmi Kia Hay Phir Unko Sahatay Kyun Ho

Dolat Ka Maray Hain Niklay Hain Dunya Mein
Hijr Ke Baad Ab Rotay Aur Rulatay Kyun Ho

Pasand Nahi Kehdo Agar Kalame Sharif
Baat Itni Si Hay Isko Barhata Kyun Ho
 

Rate it:
Views: 615
04 Nov, 2012
Related Tags on Funny Poetry
Load More Tags
More Funny Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets