Tere Hi Naam Se Hotee Hay Ibtada Meree
Nahi Bager Tere Koee Inteha Meree
Too Mera Rub Hay Meree Aas Hay Meree Umeed
Her Ek Zarra Mein Hotee Hay Mujh Ko Teree Deed
Yeh Rung Berung Manazer Ye Khush Nooee Sub
Gawahi Detee Hay Khalqat Teree Khudaee Sub
Tere Hi Husn Ka Her Pertoo Hay Ye Haseen Dunya
Tera Azeem Taqayul Hay Mah Jabeen Dunya
Meree Subah Bhi Tere Naam Se Mehektee Hay
Meree Her Shaam Tere Naam Se Hi Dhaltee Hay
Usee Jahaan Mein Maza Agaya Jannet Ka
Ye Samer Hay Teree Janib Se Her Ibadet Ka
Too Aae Dene Pe Phir Kon Rok Sekta Hay
Too Jo Chahe To Khazan Mein Bhi Gul Mehekta Hay
Qadem Qadem Pe Ujalla Hay Teree Rehmat Ka
Atta Kia Too Ne Ehsas Her Mohabbet Ka
Jo Humd Likh Sakoon Teree 'Teree Inayyat Hay
Meree To Hasel Dunya Teree Ebadet Hay
Her Ek Saans Loon Afshan Mein Allah Keh Lia
Wojood Mera Fanna Ho Usee Wafa Keh Lia