tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
jis liye aae the so ham kar chale
zindagi hai ya koi tufan hai
ham to is jiine ke hathon mar chale
kya hamen kaam in gulon se ai saba
ek dam aae idhar udhar chale
dosto dekha tamasha yaan ka sab
tum raho khush ham to apne ghar chale
aah bas mat ji jala tab janiye
jab koi afsun tira us par chale
ek main dil-resh huun vaisa hi dost
zakhm kitnon ke suna hai bhar chale
shama ke manind ham is bazm men
chashm-tar aae the daman-e-tar chale
dhundhte hain aap se us ko pare
shaikh sahab chhod ghar bahar chale
ham na jaane paae bahar aap se
vo hi aade aa gaya jidhar chale
ham jahan men aae the tanha vale
saath apne ab use le kar chale
juun sharar ai hasti-e-be-bud yaan
baare ham bhi apni baari bhar chale
saqiya yaan lag raha hai chal-chalav
jab talak bas chal sake saghar chale
‘dard’ kuchh maalum hai ye log sab
kis taraf se aae the kidhar chale