Add Poetry

Tuheed Ka Aks

Poet: RIDA AMANAT By: RIDA AMANAT, Khanewal

Tuheed Ka Aks Dikhany Ko Muhammad Ko Blaya Jata Hai
Risalt Ki Gwahi Deny Ko Quran Snaya Jata Hai

Rehmt Ko Risalt Ki Khatir Mukhtes Krna Mqsood Hova
Jb Hi To Qalamdan-E-Rehm Un Ko Hi Thamya Jata Hai

Kaheen Prdy Me Hi Batein Hoti Hain Kaheen Aisa Bhi Ho Jata Hai
Mehman Bnaya Jata Hai Jalwa Bhi Dikhaya Jata Hai

Khulk-E-Azeem Ki Batein Keh Kr Kaheen Shan Brhai Jati Hai
Wal`Lail-Uz-Zuha Keh Kr Bhi Kaheen Naz Uthaya Jata Hai

Jin-O-Bashar Sub Sunty Hain Pathar Bhi Kalma Pertain Hain
Zban-E-Muhammad Sy Rub Ka Jo Pyam Snaya Jata Hai

Ijaz-E-Nabi Ki Aik Jhalk Is Me Hi Pinha Hoti Hai
Chand Ko Tora Jata Hai Sorj Ko Ghumaya Jata Hai

Sarmaya-E-Alfaz Nhi Ye Anbar-E-Lughat Ka Kam Nhi
Zikr K Mehky Pholoon Sy Gulshan Ko Sjaya Jata Hai

Rate it:
Views: 370
11 Jan, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets